lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu maddoxhiphop - from my window

Loading...

from my window mai dekhu bhagti hue duniya
thehraav na, apno ko laanghti hue duniya
alag hi kashmakash ek zindagi ke peeche yha
kafa jo wafa se ussi ko chahti hue duniya

kambakkht dil ye sab majra hai issi ka
ab iski bhi nahi sunu to ruk na jaye kahin ye
mustaqil na kuch, vidhaan hai ye vidhi ka
dilata yaad aksar thoda ruk bhi ja tu kahin pe

dekhu mai kya fir ek bheed aa rahi hai
shor~e~barpa ho rha ek cheekh aa rhi hai
fir wo hi riwayat, wo hi duniya ki reet
dekha ek aur shaqs jisko neend aa gyi hai

koi ajeeb aadmi hai, sab chal rhe wo so rha
duba gehri soch me tha dekh ke jo ho rha
mai sochu isi din ke liye jee rhe sab
ya maksad kuch aur maine socha aaj do dafa

ye duniya jaa rahi to jaa rahi kaha par?
ye kitna jee lenge faqat paise kama kar
jo dil ko de sukoon wo zindagi na jee sake
ab sochte sukoon milega khud ko fana kar

aur wo ped, najane kabse se khada hai
ye duniya banti dekhi usne, sabse bada hai
yu hi aaj baithe, khayal aaya mujhe
jisne beej boya tha wo shaqs aaj kaha hai?
i mean’ uski konsi peedhi zinda aaj?
baaton ki gehraiyon me na karu kabhi dikhawa
ye kala mera taaj, takht sab iske liye
kitaab likhdi 2 baki kya kya likhawa

par khair, ye meri baat betuki si
mai dekhu apni khidki se ab raat ho chuki thi
duniya wale abb ghar laute roz ki trah
mehman khud ke ghar me jabse naukri laga (wo)

from my window ek poori qaynaat thi
jam~e~gafeer me kisi ki jaan~e~jaan thi
bhari udasi se wo phule na sama gayi
khatam hui ghadi jab uske intezaar ki

mai bhi muskuraya, koi to haan khush hai
koi akela na kisi se to taalluk hai
lage harr cheez pyaari, silsila~e~ishq
par hijr ki aziyat humko bhi malum hai

alaam ki bheed me ek haseen chera tha
najane kyu wo tha chup fir bhi keh rha tha
lage wo kehta ki ye bheed mujhe raas na
mai doob gya isme, na ata mujhe tairna han

bedil khada mai be~dili ke bazar mein
par toote log dekhu to barsati aankhein
jo maine dekha to ye dekha maine bohot ki
yha log hai samaan mano ek zinda laash ke
ye bheed dekhu roz, sabki mujhe shakal yaad
yha koi khush na, ek bhujhti hui mashaal
mai sochu poori umar guzar dete log
shakal pe rakhe hasi aur dil me malal

suraj ko kho diya mai chaand ki wajah se
din ko bhi kho diya mai raat ki wajah se
kal ki fikar me hi mai aaj ko na jee saka
ab kal ko kahin khodu na mai aaj ki wajah se

kaise bayan karu mai dil ki ye baat
to likh deta geet jaane kitne hazaar
ye alam ke rishton ki dorr sari kaat ke
mai chal pada ab asmaan ke bhi paar


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...