lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu maddoxhiphop - azaad bharat?

Loading...

azaad bharat, azaadi hai kaha par?
bekhauf ghume mard, mahila hai kaha par?
neta bhrastachaari bas dete hain ye bhashan
waha beti gayi kisi ki ghar pe pasra maatam

par mujhe kya wo meri behen, maa ya beti thodi
hazaaron mil dur, fikar mujhe kyu hi hogi?
gharwalo se dur, fikar mujhe kyu hi hogi?
gharwale hain khush, fikar mujhe kyu hi hogi?

fikar tujhe hogi jab tab ho gayi hogi der
teri duniya palat jaygi jab aayega call ek
tu bilakhta huwa bhagega thane jane ke liye
tu likhayega report, karega khud ko blame

gunehgaar pakda jayga jab milege detail
kuch dino baad, fir usko ho jaygi jail
aur uska baap neta to usko ho bhi jaygi bail
ye apna lok tantr, ye hai rajnetik khel

pura desh social media pe mangega justice
sadko pe pura sheher candle leke jam raste
news, tv, media pe hogi ek hi khabar
kitni hue wardaat kis kis ke shashan me

sachhai iss desh ki hain sab isse waqif
koi leke baitha sapne koi karke baitha sajish
wo nikal ne ko bahar par kare koi intezaar
wo insaan ni haiwaan jiske do do hai baap
har ek keemti jaan tabhi rakhu mai samaan
bhagwan na kare kabhi ho jaye wardaat
to mai bacha pau, meri behen, beti, maa
marjau mai ya maru par mai aane du na aanch

aur hum jee rahe wahan jahan insaan hi haiwan
hum pe dhikaar hai, iss insaaniyat ke naam
saalo ko thok do jaha bhi dikhe karte galat kaam
mujhe khauf nahi lag jaye 302, 307

waise bhi kitne honge raazi uthane ko hathiyar?
unhe pata kya galat par wo manenge ni baat
unhe dar khain, pakad na le thanedaar
baki police deti saza jo bhi hota gunehgar

ye sarkaar karti kaam na ki aam insaan
par mai puchta hu kyu fir bhi milta ni insaaf?
yaha har duja bhatak raha nyay ki aas me
koi samjhega ni jab tak unpe aana jaye baat

sareaam wardaat maano ban gaya vyapaar
mujrim kar gya kaand janta kare paschataap
azadi bas naam ki, ho gaye 78 saal
kya fayda jab desh badal paya ni halaat

lok tantr kis baat ka jab lok raha roo
khakhi walo se hai aas lagaye kamzor
par kise pata tha ye khaki wala hi hai chor
agar 100 hai sahi to galat bhi honge 100
khukhiyaat karamchaari inka jeewan hai sarkaari
ye bas bharte hain pet kala dhan ye juwari
shashan prashashan kho legi ni raaz gehre
unhe dedi hai ghoos unse noton ki buu aari

aur mere bolne se kuch bhi nahi hone wala
koi bhar pet soya, kisi ko mila bhi ni do niwala
soye pade rajneta, koi hai sone wala
koi kho chuka hai beti, koi hai khone wala

aur ye mai isliye bol rha sarkaar kuch karegi ni
to hum hi hai sarkaar chahe dedo balidaan
aur jalado zinda jo bhi ankh uthaye kaali par
chaurahe pe maaro goli ya latka do faansi par


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...