lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu maanu & abdullah siddiqui - thikaana

Loading...

[intro]
door se dekho kon hai aaya
mere khuwabon pe chhaaya
dil ko bara tarpaa ke naa kabhi chain laaya
bhool~bhula ke saaray maslay
ho chuka tha woh rawaana
mann tha bhi banwara aur banwara sa tha zamana

[verse 1]
kehta tha woh bas yehi
aasaan nahi hai kuch bhi
karun mein kya ab, hum~dum?
tere hi naam hai jeevan
karun mein kya, o hum~dum?
naa mujhko yeh samjhaya
naa mujhko sabar dilaaya
naa mujhko sabaq sikhaya
poochun tou ab bas yeh ke
“kyun tujh se dil larraya?
tujhe mann may samaya?
tujhko apna bulaya?”
naa mil paaye mujhe kabhi kisi bhi tarah ki khushi
dhoondun bas mein ik naya thikaana

[interlude]
[verse 2]
inn behki ghataaon se, thandi hawaaon se
ambwa ki chhaon may, tu meri baahon may
hai kuch aisa woh manzar, jo sar~e~aam aaya
rooh ko bara sataa ke ek sapna yaad dilaya
mere dil ki pyaas bujhaao re, gaana sunao re
o re piya, o re, abhi naa jaao re
tu hai taaron ka saaya, bin tere jeena aaya
tu ne dil ko rulaya, mein ne hansna sikhaya
sochun tou ab bas yeh ke
“kyun tujhko galay lagaya?
tujhe apna banaya?
ishq ka diya jalaaya?”
naa mil paaye mujhe kabhi kisi bhi tarah ki khushi
dhoondun bas mein ik naya thikaana

[instrumental outro]


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...