lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu k!llswitch - haath

Loading...

[intro]
seekh seekh seekh, haan mili
seekh seekh seekh, haan mili
seekh seekh seekh, haan mili
seekh seekh seekh, haan mili

[chorus]
maa boli beta pehle haath nahi uthana
lekin de de jo chamaat ghar bhaag ke nahi aana
khole jo kitab woh hisab de ke aana
aur maare koi laat toh phir taang ke hi aana
baap bola beta sab se dosti banaana
lekin de de koi aankh toh phir aankh nahi jhukana
maare koi laat toh phir taang ke hi aana
aur jo aaye ek saath, toh ek saath leke jaana

[verse 1]
main chauthi mein tha woh saatvi mein tha
mera balak mijaaz aur woh aadmi sa tha
mera cheenti shareer woh saala hathi sa tha
main bachpan se hi thoda baghi sa tha
woh bola mujhe beta de raha kisko hool
aankh neeche beerey raha kisko ghoor
jaanta nahi bawe tu yeh kiska school
par kardi bhool toh kismat qubool
maine gandhi padha tha, uss ne khaak nahi padha tha
maine gaali baki, toh usey gaal hi dikha tha
aur main gaal hi dikhata, jaise gandhi padhata
par woh lekе mere note, mujhе chhaapne laga tha
dhaap mein gira tha, par main haath nahi uthata
cause i learnt the wrong lessons, abhi paath nahi padha tha
never been a snitch, toh phir baat kya batata
ghar bhaag ke main jaata, bas maa ko jatata
[pre~chorus]
kya karoon maa?
haath dhare baithun, ya phir haath dharun, maa?
insaaf karoon kya?
haath rakhun saaf, ya phir daag du nishaan?
beta hote nahi pareshan, itminan se kaam tu rakh pare shaan
lekin jab ho zulm ka dabav, toh rakhna zehen mein yeh baat
teri maa boli

[chorus]
maa boli beta pehle haath nahi uthana
lekin de de jo chamaat ghar bhaag ke nahi aana
khole jo kitab woh hisab de ke aana
aur maare koi laat toh phir taang ke hi aana
baap bola beta sab se dosti banaana
lekin de de koi aankh toh phir aankh nahi jhukana
maare koi laat toh phir taang ke hi aana
aur jo aaye ek saath, toh ek saath leke jaana

[verse 2]
agle din main baitha taiyyar
badli kameez aur tameez aur chaal
chhaati thodi baahar, thodi oonchi yeh naak
aatmasamman bana meri ye dhaal
maine rakha kaam se kaam, par khamakha
woh dikha mujhe class ke baahar, aur saath thhe paanch
woh roka bola jaanch padtaal, aur mere kandhe pe haath
main bola haath hata, woh bola kya–
karega tu baap se baat, aur tu~tadaak
doon munh suja do ghoose maar
doon munh phula, tu bhool chuka
chal ab baatcheet hui bahut, bag utaar
usey pata na tha hoga uske munh pe vaar
usay laga hoga loonga main bhi kya ukhaad
bag basta chhod diya bhoot utaar
kiya khoob udhaar, diya joot utaar
diya thoonth pe laat, main ghutne baaz
woh dikha mujhe thookta lal, woh gutkebaaz
bachana chahe usey ke yaar, par sab bekaar
phenka uss se kaanch ke paar, toh kaam tamaam
lage munh na aaj ke baad, woh apne aap
chale na woh aas ya paas, le raste naap
kare saale paschataap, aur sab ehsaas
tabhi baitha main hairan, ab bhay ke paar
[pre~chorus]
kya karoon maa?
haath dhare baithun, ya phir haath dharun, maa?
insaaf karoon kya?
haath rakhun saaf, ya phir daag du nishaan?
beta hote nahi pareshan, itminan se kaam tu rakh pare shaan
lekin jab ho zulm ka dabav, toh rakhna zehen mein yeh baat
teri maa boli

[chorus]
maa boli beta pehle haath nahi uthana
lekin de de jo chamaat ghar bhaag ke nahi aana
khole jo kitab woh hisab de ke aana
aur maare koi laat toh phir taang ke hi aana
baap bola beta sab se dosti banaana
lekin de de koi aankh toh phir aankh nahi jhukana
maare koi laat toh phir taang ke hi aana
aur jo aaye ek saath, toh ek saath leke jaana


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...