lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu katu vachan - lash curry

Loading...

[verse 1]

tera sahara main chaara begaana ye safar
hai jaana pehchaana tarana ye magar
basera khwaab ka aankh mein lazmi
barbaad hai aage saakshi
kitaabi ye baatein hain kaagazi
kharaab hai aadat sharaab ki chhod di
imaarat hai shehar mein bahut par
gareebi sadkon pe dikhti hai aaj bhi
baatein ye ghaas si choobe, par chehra batati hai saaf
100 number dial, 100 number dial
prashasan late to 100 jane ghaayal
100 jane dekh ke video bana rahe the
road pe dogale 100 jane ghaayal
ha maano to khuda na, maano to patthar
jawaani mein khaanon mein battar
mili azaadi saalon se ladkar
gore hote ni kaalo se badhkar
na seekha kitaabon se padhkar
roshan hua chiraagon sa jal kar
khada hoon main iraado pe datkar
intezaar kare maa meri ghar par

[verse 2]
merе khwaabon mein aata shaitaan
bechaini ban ke baithi hai mеhmaan
kamre ke kone mein baitha hoon shaan
khidki se taaka ja ki kare chaand
baatcheet hoti taaron se dono ko girne ka dukh hai
andhera ye dosti kar beta mujhse badal deta kirnon ka rukh ye
ab bachpan kandaali mein ghar pe the dukh
karna hai baap ko karze se mukt
mujhko pata hai ki koi to dekh raha upar se
bas uski wajah se main chup
uthaya tha pen majboori majboori mein
ab yahi pen har dukh ka saathi hai har vyakti same
kalyug ka vaasi hai married to game se kar loonga shaadi
main ab talak

[verse 3]

kavaara awaara sahara nasha, nazaara sa maara hamaara maza
main ghooma har jagah tumhaara pata
na mila tu phir se dobara bata
ye gaana un logon ke liye jo haar gaye
doosron ke liye khud ki khushi maar gaye
kya matlab kama liya tune bahot
kya matlab mayyat pe par kandhe na chaar
haa bachchon ke baston mein drugs
kam umar se ladkon ke parson mein chars
sam umar ke ladkon ko dekha latakte
milaawate kar rahi madraso mein nurse
biwi ko belt se maare sharaab
ya aadmi yu hi badnaam hai
mard chuka leta paise sharaab ke
bojh lage bachchon ki books ka daam hai
[verse 4]

in shabdon mein shakti hai
shabd hi mantra, shabd bhakti hai
ye jeevan saakaar hai
tabhi kar tujh mein sabr
man mein trapti hai
rach bhagwaan ne srishti
aur di m~n~shya ko divya drishti hai
samay padhaata paath
paristhiti leti pareeksha sabki hai
gyaan agyaan ke beech ke bhed mein
lipti maya gajab ki hai
ye kuch bhi kar sakti hai
kabhi andheri kabhi chamakti hai
anekon roop badalti hai
ye jatil nahi sabse sambhalti hai
buddhi ko vash mein karke nritya karti
man mein hi palti hai
kabhi hai sheetal jal si
kabhi hai ushma jwala si jalti hai
wajah hai laalach, jalan, nafrat
aur janani jhal ki hai
sabko hi jaldi hai
chinta kal ki, chinta phal ki hai
chinta chita samaan hai
cheta jo tere chit mein jalti hai
[verse 5]

ho na tujhe viksit tha ho ra
vichalit man mein hai vish itna
ekatrit kar thoda bal
aur kar ek karm jo vishvat ka
khud mein tu jhak ke dekh
mere mitra pehle khud se kar mitrata
mujhe pata hai tu pyaasa bahut hai
wo pyaas kuch nahi hai mrug trishna

[verse 6]

pehle tha main thak ga bas natmastak
brahman sachet hari om tatsat
naam devanshu main rishiyon ka vanshaj
seedhe shiv aur shakti se sampark
sacchit anand sukh hai nirantar
shuddh vichar dhyaani
dhan dhyaan to kar tere katenge sankat
dhyaan to kar tujhe dekhenge shankar
hai sampatti teri driya shakti
karm hi yog hai, man ki tripti
sansar saagar karm hi hai kashti
karm hi dharm hai jo banata vyaktit
karm mera apnon ko rakhna suraksh~t
karm kare mastishk, gyaan kare archit
jeevan in karmon ko karke samarpit
in pannoon pe shabdon ko karta hoon ankit

[outro]

to sir humko collector bana do
hum banne ke liye tayaar hai
sabki maange poori kare sir
aap kar nahi paate to
kiske liye bani hai sarkaar
jaise ki hum bheekh maangne ke liye yahan aaye hain
humare gareeb ke liye to kuch vyavastha karo sir


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...