
lirik lagu karakoram & young stunners - ye dunya - coke studio live uae 2022
[chorus: karakoram]
chehre badalte jaayenge
chalti jaayegi, chalti jaayegi
ye dunya
rukti hai kahaan, kisi ke bhi liye?
[verse 1: talha anjum]
chehre badalte rahe
zindagi waise hi chalti rahi
dunya badalti hai fitratan
iss mein humari koi galti nahi
palti rahi dil me udaasi
andheron se leke roshni tak
khaamiyon se khamoshiyon tak
hosh se leke mad~hoshiyon tak
afsos nahi ke afsaane likhe
woh afsaane mabni afsuradagi par
khuda tu deta hai be~hisaab
mere dard me thodi toh kami kar
khile na kyun yahaan ab woh gulaab?
kyun rahi bahaar ki kami bas
qismat humaare hi haath me
us pe ikhtiyaar ki hai kami bas
woh log bhi guzar gaye, woh ghar bhi jal chuke
wahaan ab kuch nahi
wahaan se ab gard uthe
zakham toh bharenge dost, waqt ki marham mein shifa hai
par waqt be~rahm hai dost
wo kab kisi ke liye ruka hai?
jhuke na sar, phelain na haath humaare
ab bas yahi du’a hai
kabhi~kabhi aaye soch, jo hua wo theek hi hua hai
sabar se sabaq jo mile hain
sabar se ab meri sulah hai
ke koi nahi agar tera, toh meri jaan khuda hai
[chorus: karakoram]
chehre badalte jaayenge
chalti jaayegi, chalti jaayegi
ye dunya
rukti hai kahaan, kisi ke bhi liye?
[verse 2: talhah yunus]
zindagi khel nahi, yeh sirf ek tamasha hai
kitno ko jail huwi, jurm mein izaafa hai
han maana ke der huwi, is qalam se waadah hai
is jangal ko sher nahi, andhera sikhata hai
mein qalam uthata, toh khuda chalata hai
bhai tou sirf gaata hai
dua’en kuch logon ki, kitni kahaniyon ka yeh khulasa hai
khoon se range yeh khaake, shayad khuda hi ghar tak pohnchata hai
hijr ki shaamein, yeh fiqr hi apno ko qareeb lata hai
zarurat nijaat ki maa hoti hai, tou mein kitno ka baap huwa?
teri khoraak hun kya?
sab likha huwa baant dun kya?
tera mizaaj hun kya?
kala ko apni mita dun kya?
socha khuda se ab maangun kya?
marzi woh apni jalaa dun kya?
lagta na mumqin
mein aur mere khuwaab, jeena chahta hun mein khul ke
qalam kiya azaad, yahan nizaam saare ulte
lagi jaise aag, shehr baarishon mein dhulte
dil yeh naraaz, idhre kalakaar rulte
zindagi paheli boojo, jaano kitne uljhe
andhere mein chiraag yeh jaise yeh raaja sulke
kate mere parr, phir bhi jaane kese urte
[bridge: karakoram, talha anjum]
shehron me ghoomoon
main dhoondun kya?
sheharon me ghoomoon bewajah
sab kuch main keh doon
dil me hai kya?
sab kuch main keh doon bewajah (‘wajah)
sab kuch main keh doon
chehre badalte rahe
hum isi shehar me chalte rahe
sab kuch main keh doon
ghar tha weeran mera
aur hum akele hi jalte rahe
dhale yeh shaam ab din chadhe
chalo roshni ki simt chalein
apni zaat pe yaqeen mera
azaa’im mujhe yeh azeem karein
hakeem hai qalam aleel ke liye
kehne ko tere rafeeq to hain
phir peeth peeche kyun ye hareef bane
ajeeb ye
[chorus: karakoram]
chehre badalte jaayenge
chalti jaayegi, chalti jaayegi
ye dunya
rukti hai kahaan, kisi ke bhi liye?
kisi ke bhi liye?
[outro: talha anjum, karakoram]
ke koi nahi agar tera
toh meri jaan khuda hai
ke koi nahi agar tera
toh meri jaan khuda hai
‘cuz you are not alone
ye dunya!
ke koi nahi agar tera
toh meri jaan khuda hai
Lirik lagu lainnya:
- lirik lagu ashtilde - radius
- lirik lagu mauro dembow & kevin roldan - olvidate de el
- lirik lagu inaxo & bingolo - psicotimia
- lirik lagu xxffcyuvcui - a change of heart
- lirik lagu afterglow (bang dream) - a sunset so bright
- lirik lagu money mayhem - whatchu u sayin
- lirik lagu gael androide - festa o ano inteiro
- lirik lagu odihu - angelgirl
- lirik lagu m-beat - do you know where you're coming from? (knowledge album version)
- lirik lagu badtrip boys - мираж (mirage)