lirik lagu jokhay, talha anjum & asim azhar - rock bottom
[verse 1: talha anjum]
mujhe dard~e~dil ki dawa nahi
mujhe dard~e~dil ke dalail de
tera aana mujh pe zaroori tha
tere aanay ke kuch marahil thay
hum dono mei kaafi masail thay
par hum dono aik dusre ke qail thay
kabhi mila karte thay paharon pe
kabhi mila karte thay hum saahil pe
mann mayal kiya tunay janam
mein dooba hoon deep at the bottom
meri sochon mei kitna tazaad ab
mere ehsasaat mei tasadum
hum lartay hi rehte hain apas mei
aur dekho barhtay hi rehte hain nakhun
hum peetay hain raaton ko itni
ke subah tak kho hi dete hain tawazun
meri fiqr mei mere dua~go
aise nasha na kaho dawa ko
teri nazron se peetay hain roz
tou ab kya shikayat hai tеri zabaan ko?
sochon ko bandhun kafan mei
aur dil ki qabar mei, ye saari dafna doon
ajnabi sa lagta hai apna aap
kaisе lagay ga mujhe apna tu?
[chorus: talha anjum & asim azhar]
ye dushwarian, dard~e~dil aur dil~daarian
mujhe kha gayi teri yaad ab (mujhe kha gayi teri yaad ab)
bari mehengi teri yaarian (teri yaarian)
mein dil ka sauda ab kya karun? (mein dil ka sauda ab kya karun?)
iss dil ka sauda ab kya karun? (iss dil ka sauda ab kya karun?)
mein tum se aakhir kab tak larun? (mein tum se aakhir kab tak larun?)
mein dil ka sauda ab kya karun?
kya karun?
[verse 2: asim azhar]
tu zahir hai, mein ghayab hoon
tu qayam hai, mein maazi hoon
par hai nahi jo dikh raha
bas bik raha bazaar mei—
chal ab meri baat sun
why you always run away?
can we talk soon?
mujhe rehti abhi fiqr teri, kya tum?
mere baaray mei bhi sochti ho, gumm~summ (yeah)
bas itni si baat hai
tu kitna barbaad hai
but, i wanna be where you are
par tu door khara hai
aur ye dooriyan hum ne sahin
thi dillagi koi khel nahi
majboorian aur tashnagi
ye tum kya jaano kabhi
be~raaz hoon, bezaar hoon
teri khamoshion ka zaad hoon
aur umar bhar ka riazi hoon
mere geeton mei tabhi—
[chorus: asim azhar]
ye dushwarian, dard~e~dil aur dil~daarian, hmm
mujhe kha gayi teri yaad ab (mujhe kha gayi teri yaad ab)
bari mehengi teri yaarian, teri yaarian
mein dil ka sauda kya karun? (mein dil ka sauda kya karun?)
iss dil ka sauda kya karun? (iss dil ka sauda kya karun?)
mein tum se aakhir kab tak larun? (mein tum se aakhir kab tak larun?)
mein dil ka sauda kya karun?
kya karun?
Lirik lagu lainnya:
- lirik lagu labess - all we are saying now
- lirik lagu d!yariz - hilal
- lirik lagu nineb youk - låt mig berätta
- lirik lagu frimus - крестики-нолики (tic-tac-toe)
- lirik lagu ce$ar (@vercxttcesxr) - call me 2! (yhapojj flow)
- lirik lagu jesse sykes & the sweet hereafter - dewayne
- lirik lagu メガテラ・ゼロ (mega terra zero) - そんなもんさ (sonnamonsa) (romanized)
- lirik lagu december 1st - the girl on the tv
- lirik lagu max resist - donna maniac
- lirik lagu prom (band) - stuck