lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu jokhay, shareh & jj47 - cliffhanger

Loading...

[verse 1: shareh]
woh pooche, “mere liye gaate nahi ho kyun?” (yeah, yeah)
mein bolun “tum satate nahi ho yoon” (hmm)
tujh pe kya likhun? ab tu he hai sukoon (bol)
tu mera sub kuch, tujhe jaane nahi doon
tou kyun tu yoon mujhse hai khafa, jaana?
uthun tou loon tera he mein naam jaana
fuzool~fuzool baaton ka nahi kaam jaana
tu hai tou bus jhoomu saari shaam jaana
khamoshi samjhu teri jab mujh se naraaz tha
nazron se baatein hotin, aisa tujh se waasta
tu mera dil, meri jaan, mera aasra
par hota nahi kabhi~kabhi bardasht mujh se faasla
kitne loug jo teri tarah he sunayi dein
chalay jaoge, yeh dar mujh may basa he rahe
tabhi tou poochein tujhse, “kya tujhe hum kaafi hain?”
woh tere jaise nahi jaana, woh bus tere hum~kaafiye
jab tujhe dekhein baatein bhoolein saari kaam ki
tere liye jo nahi pasand, usme haan ki
waise dekho teri gully mujhe jaanti
par tujhse behtar mujhe koi nahi—

[chorus: shareh]
saath hoke bhi thay gilay
kahin jo tu rok le, hum hilay nahi
baat yeh ke bus hum milay nahi
naa tu bol kuch, hum bhi chup yahin
aansu ponch ke hain khade yahin
baat yeh ke bus hum milay nahi
[verse 2: jj47]
naa waqt raha hai, naa he mere aansu girtay
naa teri yaad may hum darbadar awaara phirtey
naa woh raat ki tareeki may ashaar bolay
naa bhatakte ke gully mein dobara phirtey
naa teri baatein jo kahin hon tu ne yaad rehtin
mein tere sheher bhi aata, jo meri baat rehti
ab meri anaa mujh se jeet jaati yeh bol kar ke
“usko yaad rakhna tab jo mulaqat rehti”
tum mere kaam ke banday thay par kaam he naa aa sakay
nibha sakay, ya muu pe yeh bata sakay
aag~ya samajh tum saath qasmein kyun naa kha sakay
phans g~ye ho bar may tum, aa sakay, naa jaa sakay (woah!)
aur naa he tum bhula sakay
dil ke bazaar may chand sikkay he kama sakay
kuch kehne the ashaar, kabhi padh ke naa suna sakay
ik dard hai hissay may likha, uss dard ko naa chhupa sakay
jaag jaate aadhi raat, bechainiyan mere bus may naa
tujhe dhoond lein hujoom may, humein chahiye hote chashme naa
tum thakk g~ye beech raaste tou jhooti theen yeh qasmein naa
tahayat saath rehna, maante yeh rasamein naa ab

[chorus: shareh]
saath hoke bhi thay gilay
kahin jo tu rok le, hum hilay nahi
baat yeh ke bus hum milay nahi
naa tu bol kuch, hum bhi chup yahin
aansu ponch ke hain khade yahin
baat yeh ke bus hum milay nahi


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...