lirik lagu jokhay & jj47 - ferris wheel
[verse 1]
bewajah kya hi waaste bhi dete?
saath chalte to tumhe raaste bhi dete
gilay dil me ham rakhte nahi hain
ham dushmanon ko ghar baitha naashte bhi dete
kabhi dil ki ham sunte nahi hain
dene pe aaye to jaan bhi dete
ham kaise imtehaan me khade hain?
kya~kya cheezein insaan bhi dete?
aane se pehle hui jaane ki jaldi
tumko lagi hai zamane ki jaldi
falaane se pucho falaane ki jaldi
yaad kya karoge jo bhulane ki jaldi
pait bharna hai, kamane ki jaldi
jeet ka nasha hai, haraane ki jaldi
bhatke huе ab khade jo hue hain
saaqi ko lag g~yi pilaane ki jaldi (woah!)
rеhta mujhe hosh jo nahi hai
aur bacha koi dost jo nahi hai
mai roz~roz dikhta nahi hun
ab meri waisi soch jo nahi hai (yeah)
mujhe mera maqsad mile
mere khwaabon ki tarah mein qaabil bana
jo dikhta nahi tha wo haasil bana
mein likhte~likhte kaise faazil bana
faasle bhi rakhne, doori bhi rakhni
khushiyan bhi kaafi, majboori bhi rakhni
kehne ko hame ji~huzoori bhi rakhni
izzat bhi sabko zaroori bhi rakhni
tumko taiyaari poori bhi rakhni
kangan, kaantein aur churhi bhi rakhni
kehti “sab kuch kehna nai hota
baatein kuch accha adhuri bhi rakhni”
[chorus]
ab ye khumaar hi sahi hai
zehen pe sawaar hi sahi hai
ham kis kamre me baithe
ke kehne ko bas ye deewaar hi sahi
mujhse kabhi chai ka to pucho
tujhse behtar mere yaar hi sahi
baatein bachi do~chaar hi sahi
chalo likh dete ham kuch ashaar hi sahi (woah!)
[verse 2]
tu meri hui haar hi sahi
to mein bhi zimmedaar hi sahi
ham aaj kal hansne lage hain
kabhi aa kar hame tu ujaadh hi sahi
mujhe log padh na sake
to phir rehne de inko gawaar hi sahi
kaise~kaise dekha inn lamhe yahan
tu zindagi mujh si guzaar hi sahi
karu sakhtiyan bhi khud pe
bharu takhtiyaan bhi khud pe
kyu theher sa g~ya hun?
chale kashtiyaan bhi khud se
mere saamne ek leher
kahan jaayein? kis rukh se?
ki tum g~ye ho yun bujh se
kya sawaal tha ye mujh se? (kya?)
kya ab haath khaali? raat khaali?
baat~baat pe dete gaali
kab salakhain? kab bahali?
kaisi eidein? kab diwali?
kaun murshid? kaun chela?
kaun maalik? kaun sawaali?
kis ke pairon me bedhiyan hain?
kis ke haathon se bajti taali? (woah!)
[chorus]
ab ye khumaar hi sahi hai
zehen pe sawaar hi sahi hai
ham kis kamre me baithe
ke kehne ko bas ye deewaar hi sahi
mujhse kabhi chai ka to pucho
tujhse behtar mere yaar hi sahi
baatein bachi do~chaar hi sahi
chalo likh dete ham kuch ashaar hi sahi (woah!)
Lirik lagu lainnya:
- lirik lagu yu - safe psychopaten
- lirik lagu ameen [ind] - shukr ada
- lirik lagu gverilla - skarbie
- lirik lagu precious pepala - sunday morning
- lirik lagu maxwell - lake by the ocean (melo-x remix)
- lirik lagu digirock - brand new monster
- lirik lagu kohjiya - denied
- lirik lagu kasablanca - inner_mission
- lirik lagu джон гарик (john garik) - биография (biography)
- lirik lagu loksmith - skip a beat