lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu jazbaat - nakaam

Loading...

[hook]
aaj tak jo bhi kiya hu har chiz me hote g~yahu
nakaam
taj tak na pina saka baap ko isliye zubaan pe rakhu lagam
dard ko yaha pina pada mujhe kya baat karoge me khud hi hu anjaan
ye darkhto ko hi dekh ke guzre harraat
ye waqt ko leke mehnat se hayaat ko banau shandar
bagair taraju ke haisiyat ko tol ke zalil kare ye khandan

[verse 1]
kya batau tumhe log kesa bartaf karte hai mujhe raha na jaaye
me jiyu ya maru kisi ko kya mera khayal na rahe
dard ke sine se likhi hai shayari gau toh g~ya na jaaye
zindagi guzarna hai toh zindagi aasan na kahe
ye shahar hi toh hai mera ghar ye chhodkar kaha hum jaaye
ab mere rehne se aur na rehne se kya afsurdagi me hi zamana chale
aur bahut baate hai chirag~e~dil mein jo hum na bata sake
majboor hu ya kalam se baate na chupa sake maa ke taano se khana khaya na jaaye
baazoqaat itna bezar ke kalam uthaya na jaaye mujhe andaza hi nahi kese hi ye safeh pe afsaane bane
me yaha akela baitha hu udaas siwa mere harjaga jashan bane
iska koi jawab nahi hai aisa sawal banaye
kitne mere yaar jo ye duniya se chal pade
ye bheed se me ruposh rahu
kuch to sath hi na aaye toh kyu dost kahu
ek shakhs ne kaha hai ranjish ki zindagi ko maut kahu
meri aadat hai tanhai me rahane ki me roz rahu
[hook]
aaj tak jo bhi kiya hu har chiz me hote g~yahu
nakaam
taj tak na pina saka baap ko isliye zubaan pe rakhu lagam
dard ko yaha pina pada mujhe kya baat karoge me khud hi hu anjaan
ye darkhto ko hi dekh ke guzre harraat
ye waqt ko leke mehnat se hayaat ko banau shandar
bagair taraju ke haisiyat ko tol ke zalil kare ye khandan

[verse 2]
mujhe kete hai tujhe takhat nahi jine ki isliye sochta hai karne ko khudkushi
aur kete hai ke tu rehta hai har samay kyu dukhi jaan deke thakan leke huwa nakaam toh samajh jao zindagi abhi shuru hui
mashakat karte rahu aaegi durustagi
tujhpe laazim ho jayegi kamyabi tu sochega tukhud kabhi
har safar me zarur tujhe lagegi chot
kyuke tujhe banna har waqt ka sabse bada g.o.a.t
jab tak is jissam me ruh hai jab tak me ruku nahi
bahut pahle se riwaj chalte aaya hai kabhi dukh khushi aur khush dukhi
tere muskurahat se teri maa khush ho gai
apne aapko khush rakh kuch toh sahi
man keta hai ke na milo kisi se bhi ye gurur nahi
yahan koi nahi hai hum dard mere baate qubool nahi
waakhi me lage jhooth lekin ye jhooth nahi
aadat thi sabke sath miljul ke rehne ki woh aadat bhi chhut gai
aisi taraki karo sara aalam aaye janaaze pe sunke jazbaat ki sans ruk gai
yaha se meri manzil hai door isliye meri umeed door hai
yakeen nahi hai kisi per jab se kanch ki tarah yakeen tootke
hum apne aapko hardin dune
khud ko sunke ab ham hai kamyabi ke bhukhe


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...