lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu jazbaat - alhamdulillah

Loading...

[1st verse]
najane kaisa ek aisa waqt tha me padgaya tha shauq me
chalpada tha hus raste me jaha sirf haram ki mout hai
khada tha us mod pe
dost the mere sare badmash na dosti thi ek namazi dost se, jo mujhe roke
mere aadate the kharab na dar tha rab ke azab se mere sath maabaap ki izzat nahi pados me
maabaap ke kahi samjhane pe na aaraha tha baaz na aaraha tha hosh me
ek waqt chal rahi thi azaan mujhe yad nahi namaz mena tha ramazan na rake mene roze
ye duniya ek dhokhe ka samman kitne khae dhoke
shuru kiya rap background me music gano me udaasi
music se lagaye baitha tha umeed na jaane na naraz tha khuda bhi
mazaq me toh har galiya aam thi
socha tha me banunga rapstar concert chalega ek raat jo socha tha woh jhutha tha khwaab bhi
ghadi to chal rahi thi mera waqt bekar music ko waqt dekar na door ho rahi thi udaasgi
me rahat~e~sukun ka khatre ka ek boond ka mutalashi, thi talashi
zindagi banchuki thi afsurdagi
khuda ki marzi, khuda bada meherbaan naseeb me likhi hidayat
shuru hui aana kaifiyat pe kaifiyat
alamate khuda ki, kyunke mazbut bane imaan
samajh aaye duniya aur aakhirat ki kya hai asaliyat
kis chiz ki kya hai ahmiyat
me samjhu me khush kismat jo allah ne dhi hai hidayat

[hook]
ghaflat ki zindagi ka tha me shokin
is duniya me kya hai maqsad khuda ne kiya zahir
thi koshish ke hiphop me banu mahir
lekin iman se tha me buzdil
lapta huwa tha shaitan shayatin ki zangir me
galat sahi samach ne ki khuda dhi hai thofik
tha me kafir, khuda ne bana diya momin
tha me fajir, khuda ne dil me dali baat ummat~e~muslimah ke liye banna hai mufeed
[2nd verse]
wahi toh hai parwardigaar jo zindagi me deta hai rahamate barkate
har bar khuda ki bandagi me milta qalb ko sukun ibadat me
woh kaisa sukun ham kya batae
aaj jo bhi hai allah ki niyamate ham kya jatae
sabke liye woh aasmani kitaab nasiyat hai
isliye nazar aate hai alamate kyunke afsos na hue qayamat me aur hashr me
kabhi khayal aaye woh guzre huwe ~rs~ me mene kya kiya
khayal me sawaal aaye zillat ki zindagi se kya liya
aur khayal karu toh dil me malal aaye tofe me maabaap ko kya diya
haram ki mausiqi ki ghaflat ki zindagi ke sile me mujhe kya mila
jab rahat hi nahi gine me toh ghaflat ki zindagi me kya gina
kabhi khud se kehta hu bhatka hua musafir kal tu kahi tha
mujhe dikhaya sahi rasta aur milaya deen se mere parwardigaar ne ye dil kehta hai shukr alhamdulillah

[hook]
ghaflat ki zindagi ka tha me shokin
is duniya me kya hai maqsad khuda ne kiya zahir
thi koshish ke hiphop me banu mahir
lekin iman se tha me buzdil
lapta huwa tha shaitan shayatin ki zangir me
galat sahi samach ne ki khuda dhi hai thofik
tha me kafir, khuda ne bana diya momin
tha me fajir, khuda ne dil me dali baat ummat~e~muslimah ke liye banna hai mufeed


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...