lirik lagu farasat anees & hashim nawaz - khalwat
[intro]
kar dega shaks saare bhadwa
saare gira dega na rahega pardah
tujhe pata mujhe kitni teri parwah?
upar wale ke ilawa kisi se na darta
kalam likhta jab deta mein sadqah
mukhtalif kaam bhi mein mukhtalif karta
chote fan hai to izzat tu kar na
kar le salaam aa ja bilawajah darr na
[verse 1]
silah mila mujhe mere rap ka hai zyada
nahi saja hua rapper banu, ye sab mujhe bhaata nahi
album bana rahe tabhi studio me fire lagi
focus the level chullay uttay ho g~yi chai thandi
thake hue munde, himmat na haarte
kamre me band the jab tum saare bahar the
kitne hain bharte aur kitne hain phaarte
kaagaz ye saare likhaari pehchaante
ye sab haste ab mere halaat pe
waqt kam, sar dard, subah~shaam, raat~din
dharhkan tez meri hone lagi aaj
dil soch me hai pada, hone laga hasaas ye
gine din, na mahine, na saal ye
khuda gawah hai aur ghar wale jaante
dua’on me maangi hai mausiqi hamne
jis jagah pe kehte “mausiqi haram hai”
tasawuraat f~cked up
poori tasweer dikhegi inhe kab tak?
mujhe maqsad paane se hai matlab
is hujoom se pyaari mujhe khalwat
jis junoon se shuru kiya maine tha
rabba wahi wala dubara se dena mujhe
hashim bhooka hai lekin hua kamzor
diya jalade jo naa kabhi dobara bhujay
mujhe sune gaaon mera lekin ab sunau kya? (kya?)
inki mehfilon me ab mein zyada jaun na (na)
buzurg kehte hain “maashra hai aaina tera, hashim”
“dikhta khud ko kaisa, tu batayin na” (na)
[bridge]
let me rap more farasat, ghabra mat
rehni teri beat’ein sada salamat
baghawat mein nai karta, bas mein likhta kadhwa sach
banawat se hai paak bhai tere barabar, bata kam
[verse 2]
karan challay assi sabar, karte assi sau poora
jigar naiyo assi thallay aanday kaday ginti karte
ye aur apna number mujhe yaad hai nahi
baatein nahi karte jo, wo chutiyon ko bhaate nahi
maaqasam jo bhi hai dikhta, wo likhta hun mein
shukr bhi mein hun aur shikwa bhi mein
majboori me uth’ta jab girta hun mein
bana shaayar adhura, ek misra hun mein
meri chahat hai kya? paisa, paisa, paisa
chup kar ke sunta ab baitha mein na kehta
agli iss nasal ki pahunch se baahar ham
pindi boyz waha par daakhla jahan band
aasra raha kam jab thi zaroorat
ab nahi zaroorat to jani tu aana mat
mushkil me rap, ab ye hai zidd apni
patli hai gully aur moti hai shist apni
agli hai qist apni
[outro]
~phone dialing~
Lirik lagu lainnya:
- lirik lagu sp1dermanchik (rus) - джингл белс 2025 (jingle bells 2025)
- lirik lagu арктида (arktida) - мама (mother)
- lirik lagu jerri boi - sometimes remix
- lirik lagu cheri knight - dead man's curve
- lirik lagu fatboy - grip
- lirik lagu miyaki - anita
- lirik lagu casxuls - i never wanted all this
- lirik lagu thick44 - nightrain
- lirik lagu situationsfornærmelse - krænk mig
- lirik lagu bc kingdom, kim petras & sophie - reason why (mixed)