lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu farasat anees & hashim nawaz - artist ko na maar dena

Loading...

[verse 1]
ha
waqt guzra
waqt ne sikhaya
waqt ne bataya yahan kon tha paraya
kon phirta nafratein chupata
mai ghar walon ke aage apni hasratein chupata
jaise maloom hai mujhe duniya ki haqeeqat
kya mukhtalif bashar jo karta beaton pe nasihat?
kya tum bhi mere jaise khud ko alag karte feel ab?
acknowledgement ke khatir tum bhi maange lag g~ye bheek ab
mere time paas thoda ab hai likhne ka
tumhe shikayat hogi hashim bhai hai milte na
mai 9 to 5 mai hun phasa karo shikwe na
rakha khud ko priceless hai pindi boyz bikte na
tum isko akad bolo aur mai sadaqat bolu
aur jab tum aate tumse badhi mai phir chaadar kholu
aur phir tum baitho aise izzat hai ek haqq tumhara
mai nahi chahte inn logo ko ab paa kar khodu
ha
baat qadar ki hai baat qadar ki thi ye kya jaane?
mai chatti class mai tha likh raha hun tab se gaane
ek kalakaar ko ye aam insaan kya pehchane?
inki nai suni jati tabhi logo pе chillate
mutaasir karne ki na taaqat dekhi
aur jab dеkhi thodi waha milawat dekhi
duniya me husn thoda zyada bas banawat dekhi
na mawqa mila wahan pe sharafat dekhi
picture perfect bhai aapka safai maangta
na ki bahane
ye gussa karte hain
kyu hil jau jo mai jagah se?
tu kitna jaanta hai kab se mai hun sun chuka
tu kitna jaanta nahi hai mujhko ye bata de
samajh se jaane wala bahar tera bhai
abhi bhi khada yahan jaan leva
agar tu waar karin yaad rakhi bas tu meri jaan lega
par mere artist ko na maar dena
[chorus]
mere artist ko na maar dena
(mere artist ko na maar dena)
(mere artist ko na maar dena)
mere artist ko na maar dena
(mere artist ko na maar dena)
(mere artist ko na maar dena)
mere artist ko na maar dena
(mere artist ko na maar dena)
(mere artist ko na maar dena)
mere artist ko na maar dena
(mere artist ko na maar dena)
(mere artist ko na maar dena)
ha

[verse 2]
qurbaniyon me kaamyaabiyan chupi hain
insaniyat me aasaniyan chupi hain
jo barson baad dekha pahle jo dikha nahi
dukh lene wala sabke aaj wo sukhi hai
likh raha tracks jin pe kar sako tum travel
bigger picture me ladkon ke disses karenge na matter
rabb ne rapper banaya mujhe ya phir banne diya?
rassi hai ye dheeli ya phir bolun isse rehmat?
mai qarazdaar uska aur ye farzon se na jhukega
dil mai bas g~ya to sunle dil tera ye dukhega
ummeed hai ki zikar karu upar wale ka inn gaanon me
to apne naik bandon me wo chunega
zamana jaali
zamana haawi
jo hum zamane ke ghulam to zamana khaali
jo sunna chahega salam uska rutba kaisa?
jo aisa chahe uska naam na likhe likhari
ham dushman khud ke
auron ko hai samajh baithe
jo bhi danda de ke maange izzat usko khabar kya?
shohrat se pehle kala ki hai hoti qadar na
mai gussa pee jaata jo gaanon me hai nikalta
zamanat ka hun talabgaar jaise qaidi hun mai
maa mai nahi naik mujhe kehti tu hai
kaash mai de sakta tujhe ye saara waqt
kaash le sakta mai tere saare gham
tera bete tere liye ladhe
ha
uski umar bhi hai tujhe lage
ha
jo kuch bache teri nazar kare
jo aisa kare phir zamane se wo kaise dare?
ha
safar khaas ye batane wala bhai aapka
koshish to ki thi kar na baaz aaya
tu laakh waar karin
par ye guzarish meri maan lena
mere artist ko na maar dena
[chorus]
mere artist ko na maar dena
(mere artist ko na maar dena)
(mere artist ko na maar dena)
mere artist ko na maar dena
(mere artist ko na maar dena)
(mere artist ko na maar dena)
mere artist ko na maar dena
(mere artist ko na maar dena)
(mere artist ko na maar dena)
mere artist ko na maar dena
(mere artist ko na maar dena)
(mere artist ko na maar dena)
ha


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...