lirik lagu fallak - sifar
[verse 1]
muhaafiz mai muqaddar, ulajhnaa lapet~ta
samandar bhari sadgi, kashti kese bechta
puuchhuun ansu apno ke, gamo ko samet~ta
ghar ki diwaaro me, azm mai hun ek reit sa
saaqi ek sawaal, umeedo ko khured~ta
der chale, marhale mai, maut ek khelta
koshisho ke silsile, raaste yun chal~chale
mashaal maa ke sapne, aage yuhin bhd~chle
koshish yehi, koi mil chale aur ham chale
koshish yehi, koi gam mile, aur ham mile
rab tere der pe, ham mange ko ghar chle
apno khoj mai, ham apno se he lad pade
sch to yehi, ek wada, mehaz jhoot~ta
sch to yеhi, khvaab ek mahfuuz sa
muddaton se khafaa, durriiyo samet~ta
insaan ko shеtaan noche, insaan sirf dekh~ta
[chorus]
kitna sach likha kitna likha jhoot
kalam gawayi deti, jati mujhse roodh
dukh rukh dard, meri shaak jati tuut
koshish yehi meri, bane sapno ka wajood
meri rasto mai soch hai mahfuuz
sifar bani kashti, safar hai atuut
kitna sach likha kitna likha jhoot
kalam gawayi deti, jati mujhse roodh
[verse 2]
zaruurii ek zaroot , khudaa parastii~ya
duniya ke is zaal mai, insaan khud~parast~g~ya
laut mai un~manzilo se, khuda tere der g~ya
anjaan en kinaro se, wafa se he dar g~ya
afsurdagii is raat mai kalam mujhko khojti hai
waqt guzregii, mar~hm kalam tokti hai
zabt kr gamo ko, wado se wo jodti hai
milsakun mai khudse, mujhe roj kosti hai
chal~chale ham wahan, jahan raste anjaan se
sifar se aruuz, anjaan hai makaam se
kalam likhe dard, anjaan hai pehchaan se
qayaamat hai soch, khalvat hai khayaal se
mai rutha, wo jhuta, wo bharam sitara
mai asli aur nakli, kahani sunara
ek dhoop, ek roop, ek kashti kinara
dubi roshan wo basti, mai bikhra sitara
[chorus]
kitna sach likha kitna likha jhoot
kalam gawayi deti, jati mujhse roodh
dukh rukh dard, meri shaak jati tuut
koshish yehi meri, bane sapno ka wajood
meri rasto mai soch hai mahfuuz
sifar bani kashti, safar hai atuut
kitna sach likha kitna likha jhoot
kalam gawayi deti, jati mujhse roodh
[verse 3]
kahaniyo se kalam tuti, likhun kaise
iizaa bika bhid me mai, dikhun kaise
nasiib yeh gumaan, likhun kaise
dariyaa visaal, bhul jau kaise
apni ko umeed, mai todu kaise
be~kadr zamana, mai jhuku kaise
khirad maa kis soch, mai padun kaise
khuda tune maut likhi, jiyun kaise
kitaab hai libaz mera, dard mai bayan karu
dur mai zahaan se, khwaab mai bayan karu
lafz jode kalam se, lafz mai fanaa karu
tum mite aur hum mite, esa kya guna karu
safar se hai faasley, azm bani mustaqil hai
vaqtii rusuumate, raaste ye munfarid hai
arzish ye gamo ki, kahinya ye mushtamil hai
har shaks ke dard, waqt ki shoriidgii hai
kalkaar dhundta hai, har marz ki kahaniya
tute bikhre pinzre se, ek panchi rava~kiya
mazaamiin~e~vafaa, padi vafa ko bula~diya
kashiid bani kalam, har lafz ko jala diya
maut likhun, farz likhun, khushiyo ko jala diya
rishte ko dor tuti, safar ko safa diya
khizaan si ye shaal mili, ped ko khafa kiya
gham mile aur rog mile, sapno ko bhuladiya
Lirik lagu lainnya:
- lirik lagu мц горемыка (mc goremyka) - недосып (lack of sleep)
- lirik lagu agelast222 - :unlocked
- lirik lagu 中孝介 (kousuke atari) - 青蔵高原 (tibetan plateau)
- lirik lagu logan pettipas - peace and amends (sped up version)
- lirik lagu scapecher - licht
- lirik lagu 張敬軒 (hins cheung) - 櫻花樹下 (under the sakura) (live at royal albert hall)
- lirik lagu kissing the pink - watching their eyes
- lirik lagu inew - не плакал никогда (i've never cried)
- lirik lagu n0tinigλmi - yung gangsta flow 2017 (sped up)
- lirik lagu mm waridu, real gary feat wizani breezy - não fala de love