lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu epr iyer - adr / abr

Loading...

[chorus]
amay dubaili re
amay bhashaili re
akul doriyay bujhi
kul nai re

amay dubaili re
amay bhashaili re
akul doriyay bujhi
kul nai re

[verse 1]
talash me teri imaarte unchi
jo chaand ko chuhne ki koshish
paigaam kuch aisa hawao me
saahi baadlo se b~rs~ bhi ashqe
toh moti sa dhalne ko raat kayi
toote khwabao ke taare, kinaare, kinaare armaan naye se
ye zakhm~e~nazara hai kismat ka
jo is faqeer sa dil ko aaram nahi
kis muqaam pe phuncha, mai aakhir makaane khayalo ke ho jaate khali thikane
afsaano ke jau mai bhool
par aankhon me roshni chubhe tumhari
par khamoshiyan bhi rang~e~bahar
bewajah bimar ko mile karar
tere se yu bam~e~falak se azaad
hoke merе gulshan me nazam~e~hayat, khilte dеkh
janaja uthau mai, patjhad ke patto ka
kyun ki andaza na manzil fareb ka parindo ko
jisne nawaja hai ziddipana meri kashti par
aur zinda dhadkte samundar ka chehra ho tum
jo basera ho zulfo me palke mai choom
mushairon ke mehfil me ghazale sunu mai
apnau mohobbat ko qissa purana
bichadna naseeb toh bhi aashiqana
ayy saaqi tere saadgi me sukoon mile mujhe
dhoop sa, badi door se baho me tere
rooh ka ye suroor, bayan karu tujhe
doobta, mehsoos na saason huey tere
chuke na ye fitoor, kasoor kya mera?
bhulna kabhi bhul toh ishq ye mera
surat~e~khurseed hai tu hi dawa
mere moorat~e~marz ko arth diya
ek, beshak, beshart diya
aur araz kiya hai janab
mehmaan ko khaali haath na bhejiye
umar bharose hum nahi
zara nigah~e~shaunq se dekhiye
toh tere nazar ka tohfa kam nahi
hum mareez asiir~e~ishq~e maraz
kishto ko bhar, rishto ke bal, tinko se hal
drishyo me ab, bechargi bhi lage umda jaam sahi
barkarar charaag~e~ziist ki lau
awaaj~e~shikast ka naam nahi
[chorus]
amay dubaili re
amay bhashaili re
akul doriyay bujhi
kul nai re

amay dubaili re
amay bhashaili re
akul doriyay bujhi
kul nai re

[verse 2]
pinghalte waqt ke barfeele patthar
sangemarmar sa chamke bankar
band kamre yaado ke manzar
tasveer sa ubhar ke dastak dun
pushpak sa pustak me tere aksharo se gufatgoo mai akshar
fursat mile kuch pal teri gurbat me sh~gufta gulaab banu
filhal sambhale hue hai, deedar unke mere julmat me
kya cheene meri ulfat ko koi
bas khama kha prasan uthathe hai
aate aur jaate khato me, laakh dikhwebazi
yu paase palat’te taaki mazaak bane udaasi
ab khansu toh aatisbazi
aur aankhon me paalu aandhi
jab tujhse hi meri duniya, toh tujhse hi duniyadaari hai
mai zahmate sehne ko seh lunga
sabar~e~samiim ke saagar me tairu
haan jabki bhatkne ko mere hai raaste kayi
bas tu lehron ko tere na mujhse kar, mehroom, aanh
pahado ne mujhse kaha ki ye kalyug hai
par tujhse hi meri umeedi ka satyug hai
haq se guzarti hai nadiya chattano ko kaat ke
us kaid bahav ki karigari me junoon
mai boondo ki gunj me gungunau, gaaun
mutthi ke jugnu fizao ko lotaun
aankho se mere tu reh na poshida
hai mujhko zaroorat bas tere hi chaanv ki
har padhaav, har chaadav, hadbada kar ladkhadu
ab batao tum, bin tere mai sirfira, mai sirf gira, ye silsila chala, bachao tum
hawa~e~shab, ab aaye kab, ada~e~husan ke husan e ada me bas tum
dua karun, juda na ho, tu aashram, ek aashiyana or hum tum
kavi ko mere kabhi kisi prerna ki der na ho, ped saakho me
fal tera amrit
tu hi meri manzil, tu hi meri urdu, mera sanskrit
[chorus]
amay dubaili re
amay bhashaili re
akul doriyay bujhi
kul nai re


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...