lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu ekatra - jeena nahi

Loading...

ekatra

khudse he meri aas khatam, kabhi dekhu to seesha to dikhte zakham, ye

yaar pooche abey kahan tera mann? lage saanse dafan, bus zinda badan, se
karu jaldi se kaam khatam or chain se so jau, odhey kafan, ye
ab aati hai khupe sharam, jab khudko dikhata hoon, khudke karam

haath uthey jab khaye gum marzi se
log kahe mujhe lagte tum sardi se
ghar waalo ka hain sapna hoon vardi mein
khudki mein seeta ab lage haath darzi se
sunu kuch na mein baku besharmi se
utari khaal kyoki dum ghute garmi mein
aisi kisi din nikal lunga galati se
log fir kahenge saala bojh g~ya dharti se

jab kuch mere naam nahi, badnaam sahi ye saanse parayi
choda maine koi kaam nahi ilzaam kayi sune, khud ki jalayi
lage mujhe aawam sahi, maine galatiya ki, raatein ro ke bitayi
tha na mujhpe daam sahi to khreedi na gyi sapno ki razayi

aakhe jaagi ye tama mein kayi
mili gaali kheraat mein he
jhandd si ye lage zindgi
darpan ke alawa dikhe sach na kahi
dal~dal si ye dhasti zamee
dildaari meri bhaari padi
dilchaspi mere khatam ho rahi
tu bula aye maula mujhe jeena nahi

mujhe jeena nahi, mere maula mujhe jeena nahi
ye tu jaan le toota ni, toda hai logo ne khaab haseen
mujhe jeena nahi, mere maula mujhe jeena nahi
tu lele jaan meri ya de de mujhe mere haq ki kushi

mujhe jeena nahi, mere maula mujhe jeena nahi
ye tu jaan le toota ni, toda hai logo ne khaab haseen
mujhe jeena nahi, mere maula mujhe jeena nahi
tu lele jaan meri ya de de mujhe mere haq ki kushi

yo
deri kari maine raasto pe, bethe they yaar mere, mila unhe raakh hoke
kyu kosay mere paap hain mujhe, kyu chore na peeche paday haath dhoke
kaako se maine daan mein diye ghar, ek din poojte ye purkho se
at~~t ke kuch daag hai jo, mujhpe yun failay pade, lage saapo se

maine aakhe masal di apne aansu se
lage mujhe sunn sa pada hoon mein yaado mein
haan meri banti na khuse hoon aapay mein
soch meri gehri lage jaise khaab hoon mein
lagu khuko kala ka namoona mein
chora raato ko lafzo sa hoon na mein
kya ugau aangan mein mere jo sookha hai
laado koi chain hoon janmo se bhookha mein

kyu khupe laga mein kalank
kyu mitt~ti na maathe ki mere shikan
badan mera kaape kharochu zakham
maan betha panno ko apni rakam
rehti na aakho mein mere sharam
kyu dekhu jo lagta hai mujho bharam
jab bhi mein chalta hoon cheekhe kadam
kaate ye lagte na mujhko naram

ghatu ab mein jama mein se he
aadhi saanse ye azaan mein gyi
ab mujhe hai ghutan ho rahi
tu sunta ni toota hai mera yakeen
hui zindgi bandisho si
mujhko he meri parwah nahi
kitti baar tujhse kahu ye bata
tu bula le aye maula mujhe jeena nahi

mujhe jeena nahi, mere maula mujhe jeena nahi
ye tu jaan le toota ni, toda hai logo ne khaab haseen
mujhe jeena nahi, mere maula mujhe jeena nahi
tu lele jaan meri ya de de mujhe mere haq ki kushi

mujhe jeena nahi, mere maula mujhe jeena nahi
ye tu jaan le toota ni, toda hai logo ne khaab haseen
mujhe jeena nahi, mere maula mujhe jeena nahi
tu lele jaan meri ya de de mujhe mere haq ki kushi


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...