lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu dj henaary & nusrat fateh ali khan - matlabi dost hain matlabi yaar hain

Loading...

intro (slow, plaintive alaap / instrumental)

(harmonium, soft tabla, maybe a tanpura drone)

verse 1

gardishon k hain maray huay na
dushmano k sataye huay hain
jitne bhi zakham hain mere dil per
doston ke lagaye huay hain

ishq ko rog maar dete hain
aqal ko sog maar dete hain
aadmi khud~ba~khud nahi marta
doosre log maar dete hain

verse 2 (reflective, melodic)

log kaanton se bach k chalte hain
humne phoolon se zakham khaye huay hain
tum to gairon ki baat karte ho
hum ne apne bhi aazmaye huay hain

kasaaye~e~deed le k duniya mein
maine deedaar ki gadayi ki
mere jitne bhi yaar thay sab ne
hasb~e~taufeeq be~wafai ki
mukhra / chorus (refrain, soulful, slightly louder)

jab se dekha tere qad~o~kamat
dil pe tuti hui hai qayamat
har bala se rahe to salamat
din jawani ke aaye huay hain

verse 3 (ecstatic / saaqi part, mystical)

tumhe dekha to zahid ne kaha
emaan hi ye hai k ab insaan ko
sajda rawa hone ka waqt aaya

ae mast~e~naz, dekhne walon k dil to dekh
paamaal ho gaye teri raftaar dekh kar

giraya hath se sheesha surahee tor di maine
sharaab seekh pe daali kabaab sheeshay mein

saaqi / intoxication motif (call & response style)

aur de mujhko de, aur saaqi
qareeb aur bhi aao k shauq~e~deen mittay
sharaab aur pilao k kuch nasha utrey

apne dil~e~sil chak ko see sakta hun
mehroom~e~karam ho k bhi jee sakta hun
mauqoof nahi jaam pe rindi meri
saaqi tere ghussay ko bhi pee sakta hun
verse 4 (pain & betrayal, slower, dramatic)

kal thay aabaad pehlu main mere
ab hain ghairon ki mehfil main daire
meri mehfil main kar k andhere
apni mehfil sajaye huay hain

apne hathon se khanjar chala kar
kitna masum chehra bana kar
apne kaandhon pe ab mere qatil
meri mayat uthaye huay hain

mahwashon ko wafa se kya matlab
in b~ttun ko khuda se kya matlab
inki masoom nazron ne nasir
log pagal banaye huay hain

final chorus / closing (reflective & emotional)

gardishon k hain maray huay na
dushmano k sataye huay hain
jitne bhi zakham hain mere dil per
doston ke lagaye huay hain

(fade out alaap / soft harmonium echo)


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...