lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu com.ü.l - andha kanoon

Loading...

tarazoo me ab bhi ye baigan ich tolte
masoomo ke aasoo mai har saas bhigote
andhe randwe ku bol aankha khol ke dekh
jo chalaan se gharib ka kachcha ghar gir jaana
usse nawab ki aulad ku dhakka bhi nai lagna
kya pakka tera drama
kya nanga tera drama
itti nafrat hai humse toh ek baar me maar dena
humku kyu hallu jalaneka
zindagibhar

andhe randwe ku bol aankha khol ke dekh
jab har insaan ki samajh alag
jab taaqat alag zaroorat alag
toh kanoon kyu hai ek?

[chorus]
ye hai andha kanoon
sawaal hai gharib ke haqq ka toh rahinga inhe hakka bakka
ye langda kanoon
bhadda dhabba nahi samajtha jazba
jeene mai nahi bachna junoon
bakre ki zindagi phir kutte ki maut marke
poora karna iska usool
andhapan sawaab hai kufr har sawaal hai
aisa hai apna kanoon

sher ku daale billi ki pyaali mai ghode ki ghaas
paise wale leech kheeche seene se saans
kiski zarurat kya hai, kisiku nai malum
khargosh ke bistar mei daale ino bhaalu ku
slalek~m sahib
chhoti shikayat hai aapse hai ijaazat hai toh kartau
do saal pehle ek hafta the jail mei inho
aaj bhi bistar mei kaapte ino
woh kaisa jurm tha woh kaise zulm tha
kyu bhugatre sazaa aaj bhi ino
family mei baithe toh bhi aankh inke door hai
ac room mei bhi inku nai sukoon hai
garmi hai dimaag mei, patthar ka bistar
laakho ki taadaat mai machchar j~sm par
ye yaad hai
inki haqeeqat banke jail thairi ya pe
madhoshi ka inki kidhar ilaaj hai
haalat ke bas ab aap zimmedaar hai
bas chala mera toh aapki jail ku aag lagadu
jaanwar haiwaan ku bhi aazad karadu
ye deewaro se nikalke koi paak nai hua re
mujrim ke bharte bas dimaag mei dhua re
insaaf ka ghar nai ye zulm ka kuwa hai
j~sme dalit musalman ku tum kutte dubaye
wardi~wale dost nai tumme bharewa guroor hai
parliament ke saap mile toh muo pe thooku mai
kya hai jadd, kya hai hal, samajhme nai aaya
andha banaya tera andha kanoon
[chorus]

(instrumental interlude)

pandit ki saubat mei hum
nangi~nasal waale kaisa ab jeena
uski badti so daulat hum
rangeen sapne dekhke kaisa taanna apna seena
hum toh nangi~nasal
unhe sanghi assal
unhe masjid giraya to bhi dabake inaam hai
hum ghar banane chale toh bulldozer tayyar hai
haath dhoke pada re
apne pichche
sunne mei aara bhot lambe tere haath
aasan hojana har gully wale ka galla ghotna ek saath


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...