lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu bairagi - keep my soul, wash my sins

Loading...

[verse 1: bairagi]
baje do rakhe ghar mein kadam nahi
baatein ki itni ab ab baaton mein dum nahi
mann mera bheega toh aankhein kyu namm nahi
ya toh hum badle hai, ya toh yeh hum nahi
thoda sa toh~
mujhe bhi na~
kabhi nahi~
tere bina~
haa kitni baatein karni thi sabse
tu nahi thehra toh karta hu rab se
yeah
ladkhadake aaye gharpe hai
pehchaane na koi yeh bhoot sar pe hai
aaine se aati sharam thodi
lekin baat bhi toh khud se hi karte hai
kya yeh gaane bhi koi gayega
kya voh thoda muskurayega
ya kisiko sunayega
jab voh akela ho jayega
kya ek dost ki talaash mein
yeh naam bhi yaad aayega
saraswati jaise baithi ho zubaan par
savdhaan qaabu merе hi gumaan par
kate pankh phir bhi leni ho udaan jab
zid poori karni sab merе hi hai jaan par
quran bhi, puraan bhi hai ratt liye
insaan se, haiwaan se bhi ladd liye
apne andar bhagwan ko bithaate
par chupkar se jeb mein shaitaan ko bhi rakh liye
kise bolna nahi
raaz kholna nahi
mujhe sahi~dalat dono mein hi tolna nahi
tarazu alag hai
beqabu talab hai
iss vish mein khud hi ko bas hai gholna nahi
yeh gehra sa ghaav hai
agla padaav shayad khudka bachaav hai
ganga bahadi kuch mitate na daag hai
paani jaha kam wahi doobi yeh naav hai
[verse 2: faris]
pada hua bistar pe
aati mujhe neend nahi
kamre mein roshni
par dil mein umeed nahi
chaar baje raatke
chaar kari baatein
do log hai mareez
tabhi khud par yakeen nahi
alfaaz na yeh khaas
kitne yeh raaz hai
saaf mere haath
par kuch mitate na daag hai
eitbaar ki uss aag mein hum raakh hai
eitbaar karne wale bhi kya kam the
sharam bhi nahi aati hume aajkal
laga chhat thi, baithe the hum chaand par
voh yaad aur sawaal chale raatbhar
maan meri jaake tu khudse sawaal kar
khaufzada mai aaine se milta nahi
raat jo na dhalti, subah tak koi sunta nahi
waqt aesa, bhagwan mere kandhe par
lekin chehra mujhe khud ka hi dikhta nahi
sarbarah sarfaraz hai tu
gumshuda farzi naqli shaitaan hai tu
aaine ka inkaar, mehmaan hai tu
rooh~e~fasana, khud ki pehchaan nahi
dil~o~jaan mein jo vaazeh voh bayaan nahi
zindagani hai purani hum hairan nahi
beta apne hi shehar mein kya darte
rehne hi aaye the, hum aaj bhi mehman nahi
teri zubaan par sharab nahi
aur aaj mere galey mein awaaz nahi
meri jaan mein bhi jaan nahi
kehdo unn sabko hum pyaar mein barbaad nahi
hum pyaar mein barbaad nahi
hume pyaar mein sawaal nahi
mere khwaab mein bhi khwaab nahi
kehdo unn sabko hum pyaar mein
[outro: bairagi & faris]
faris
haa bol na
faris uth yaar
subah ho gayi hai
bohot bakwaas karli aaj
ghar jaate hai
chal
bag utha
milte hai


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...