lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu ayyjeet - satyanaash

Loading...

[verse]

kya batau ab main uske baare mein
likhta hoon gaane jiske bare mein
dekhna chahti hai jo meri photo
uske ghar par aane wale akhbaron mein

samjho isharon mein jo bhi kehna chahta hun
apne hisse ki khushiyan bhi use dena chahta hun
uske saare gum apne sir lena chaahta hun
parchhayi bankar main uski rehna chaahta hun

itna chahata hun jaise log paison ko
milta hai pyaar kahan mere jaiso ko
woh to kismat thi jo mujhe mil gayi thi woh
verna puchta kaun hai aaj kal mere jaiso ko

[interlude instrumental]

[verse]

fir bhi woh mera poora dhyaan rakhti hai
main do dhaari talwar hoon wo myaan rakhti hai
meri zindagi ka poora woh gyaan rakhti hai
main udna chaahta hun woh vaayu yaan rakhti hai
jab tak uske saath hota hun uski bahon mein sota hun
ek sukoon sa milta hai dekhkar uski nigaahon mein
marte dum tak rehna chahata hun uski panaahon mein
nazar na lagne di mujhe uski balaon ne

kheench lata hai uska pyaar mujhe uske paas
uske bina dhang se nahin le pata main to saans
andhe ki tarah mujhpe woh karti hai vishwas
agar woh nahin mili to kar dunga duniya ka satyanaash


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...