lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu aur - phool

Loading...

[intro]
aye dill ki gali
ab ye veeran ho gayi
par tu hai ab nahi
jaane na tu ye nahi?

[verse 1: ahad khan]
tune dill tora pehle
meine phool tora baad mein
saari zindagi guzaar di ehasaas mein
tu phool tha mera par na jaane kiske baagh mein
haan milo dobara kahin marr na jaana yaad mein
ham marr mitenge tum pe yahin khaali hai qasam
kabhi khushiyon se zyada kabhi naazil hote gham
aur ab hum tumse kya hi karein gila?
tu tou is tarha se ruṭha ke dobara he na milay
mujhe na he do dilaase jab toote huwe hain raaste
toote huwe dill aur jhooṭhe hain tere vaastay
us raastay se jahaan umar mein guzarte thay
puchhte hain log tum dono tou ek saath thay
par aaj se!
hum ne dekha aaiinon mein dill hai kaanch se
toot jaate hain ab teri aavaaz se
toot jaate hain khaalipan mein yaad se
kya he mil sakenge phir hamare raastay?
kya ye mumkin hai ki koi aisaa sochta soga
koi be wajah hi kyun phool ko nochta hoga
yaa phir raaston mein mere qadam khojta hoga
jo naa mil sakega uske liye daurte ho kyun?
jinke bin na reh sakoge unhein chhorte ho kyun?
kitne jhooṭhe ho tum kehte ho ki chahte ho mujhe
itna hi chahte ho phir mujhe kyun torte ho tum
be wajah?
[chorus: ahad khan]
ae dill ki gali
ab ye veeran ho gayi
par tu hai ab nahi
jaane na tu yaara

[verse 2:usama ali]
main woh phool jo ki shaakh mein hi reh gaya tha
kahani aur yaad mein hi reh gaya tha
mein chahta tha ki koi aake torr le mujhe bhi
mein chahta tha ki koi khud se jorr le mujhe bhi
lagi ek nazar mujhe, aur mein phir murjha hi gaya
mein tootay phool ki tarha, aur phir daraga hi gaya
kisi ne haar mein nocha, kisi ne pyaar banaya
kisi ne qabr pe daala, kisi ne haar banaya
kisi ne ronn diya is tarha se paun mai
ke itna bura tou kisi ka na chahun
mein be jaan para bas wahaan ye sochta rehta
ki kis tarha se spni shakh se jurr jaun mein
uske baad meine khwahishon ko maar diya
ya’ani ye tou bas ehsaas tha ek khwaab hi mai
acha huwa mein baagh mein hi reh gaya tha
acha huwa mein reh gaya tha shaakh hi mai
hai bharam ss dill ka tu usko chowk aayega
ye sabse sehta hai tu iski jaanib lauṭ aaega
woh waadah karke gaya hai woh kaise bhool jaega?
woh mere liye waapsi mai wohi phool layega
ab mein maafi kis se maangunga is bhool ke liye?
meine phool tora hai apne ek phool ke liye
ab mein maafi kis se maangunga is bhool ke liye?
meine phool tora hai apne ek—
phool ke liye
[chorus: usama ali]
aye dill ki gali
ab ye veeran ho gayi
par tu hai ab nahi
jaane na tu ya nahi?


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...