
lirik lagu arpit golani & gabbar the rapper - kalam freeverse
[verse 1]
rapping he sport hai
aage joh badha toh kabhi na piche, phir jaane ki aadat hai
agar hara toh hoga asaan nahi tere liye
jeeta toh battle one~sided hai
itna mai kala ka bhuka ki
likh deta verse bina sune
ye beaton ki tempo pe
jitna mai dekhu khudko
utna wajah he milta ki maa ko deke jaaun sab kuch mai
agar mai gira kabhi toh sirf utha nahi maine he
kuda jeetne aasmaan ko
parvat ki choti pe naam kharochna apna
inn pathro se kya hi mai aas rakhu
tut jaate joh jheel ki bahaav se kuch
mai voh giri joh madhav ka taaj banu
meri shoorta itni prabhaavshaali
apni tej se surya ko shaant karun
apne kaam se maine haan kaam rakha
par shanti na mere shaan mai tha
toh haan kranti ke liye gaan chuna
mere kaanch chuba par seh chuka
koshish kara par mili na voh
jiske peeche hustle diya tha rok
nahi tha usko mujhme koi shauk
uski pasand thi pehle se doosri koi aur
kara kara maine kaam aisa
mai badhe chala, nahi haal dekha
“raat hui zyada kahan? aa beta jaldi”
maa meri kehti
“sambhaal beta
pata hai mujhe tu maanega nahi
par haalat toh apni sudhaar beta
kisi aur ke kehne pe sunega nahi
par meri toh baat tu maan lena”
[chorus]
kala hai shauk, kehne darta nahi
de zindagi maut, mar sakta nahi
bolne sach hoon, kabhi dabta nahi
de zindagi maut, mar sakta nahi
kehti hai maa, khaana haq ka hi
bhale duniya kare jaisa bhi
kala hai shauk, kehne darta nahi
de zindagi maut (mar sakta nahi)
[verse 2]
bola tha baatein na meri ye chubengi
jo ki ye hogi ye nahi be hazam ye
meri zaakaton se chalegi roozi teri
toh phir kayde mai zara aap chup rahiye
inki zubaano pe mere ye koode chalenge
toh ghode becho muh ye bandh rakhiye
jeete jawano se, door he gharwalo se
maa ko bhi pata ki ladka ye sahi he
par mera ek dost joh samay gawa raha tha
padha na jaa raha tha, maa ka dulaara tha
unko gawara tha, ladka awaara tha
baap samjha raha tha, na samajh paa raha tha
toh phir jaane ki aayi uski ghadi bhi
hostel school voh military ki
aunty bohot hi zyada hi dari thi
uncle ko parwah nahi, bete ki kehri thi
jabki dono ke aankhon mai aansu the
bete ko dekh ke bus mai jaate hue
uncle bohot hi zyada hi bhaavuk the
dekhke mujhe uske liye rote hue
mere aankhon mei se aa rahe aansu the
kuch toh keh rahe the, wada voh kar rahe the
ki jaldi milenge, hum nahi badlenge
nashe mai pade the, dost uske badle the
aur
aisa na poocha mai usse kya haal
lagaya gale, aur milaya haath
aankhon mai dikha na mera voh yaar
tha meetha voh muh pe aur jhooti zubaan
“koi na theek!” usse maina kaha
maine chhodke sab yehi likhne laga
toh phir maine chuna bete kalam~kala
jabse kalam chala, aage kadam badha
wassup
[bridge]
yeah
so that’s how i started rapping
kuch dost hai usme se kuch reh gaye
kuch chale gaye, kuch badal gaye
well, ye sab toh hota rehta hai
but in sabhi ke beech main
ek cheez nirantar tha
woh tha mera badlaav aur meri growth
isiliye kehta hoon na ki
[chorus]
kala hai shauk, kehne darta nahi
de zindagi maut, mar sakta nahi
bolne sach hoon, kabhi dabta nahi
de zindagi maut, mar sakta nahi
kehti maa hai, khaana haq ka hi
bhale duniya kare jaisa bhi
kala hai shauk, kehne darta nahi
de zindagi maut
[outro]
kala hai shauk, kehne darta nahi
de zindagi maut, mar sakta nahi
bolne sach hoon, kabhi dabta nahi
de zindagi maut
Lirik lagu lainnya:
- lirik lagu pap chanel - wya
- lirik lagu pitbull - fun (jerome price club mix)
- lirik lagu pandochka - chill guy
- lirik lagu 5taxx - mr. save a hoe
- lirik lagu bombaymami - hot boyz
- lirik lagu parliament of gentleman & split dye - pppp deluxe
- lirik lagu jdnocontrol - no fake love
- lirik lagu kiki curbstomp - ugh dawg wtf
- lirik lagu projekct two - lost in space
- lirik lagu jay xan - nah.