lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu anaaz - andhera

Loading...

[verse 1: anaaz]
sitaaroun se mein jalta ja rha hun
zamaane ko mein maafi de rha hun
shikayatein rozana seh rha hun
gumaan yeh ke dhoke kha rha hun
aye! we were good kids
call my friend, clear nothing missing
aye! par zindagi ne rang aise dikha diye
be~rang se dill kaafi gunah kiye
sometimes i think of you
sometimes i miss you too
sifarishein thi boht par ab na hai koi
apnaiyat tou munh pe hass ke ja chuki
hamdard se ab dard hi bane ja rhe
bura na maano, kya tum milne aarhe?

[chorus: anaaz]
kyun andhera sa chha gaya? (chha gaya)
saare khwaabon ko mita diya (mita diya)
likhe jo khatt unko jalaa diya (ohh)
tum se milne ka na aasra

[verse 2: jani]
ab woh yaar na rhe
ya hum be~zaar agyе?
mein be~hadd dill se likhta hun
bе~kaar na kahein
adab karein is lehje ka mazaak tou nahi hai
i’m just a kid with dreams mujhe star na kahein
mein evolve karna chahun nahi badlay inki soch
logoun ko sun’na pasand hai kaise kab kaha mein broke?
woh chein se na beithe jab tak aaye hi na maut
mein zeher bolta hun, neele par gaye hain hont
uff, yaani lekin ek gumaan hai
ahista bolo deewaroun ke hote kaan hain (kaan hain)
ab ga’en leke seene mai ek dard
aankein kholein, j~sm be~jaan hai (be~jaan hai)
mere sheher ka rivaaj hai insaaf na karein
maut chal ke aaye gi aap intezaar na karein
lambi hai woh gham ki shaam
faiz tu bata mujhe ke mard ho ke ro diye hain
kyun izhaar na karein?
[chorus: anaaz]
kyun andhera sa chha gaya? (chha gaya)
saare khwaabon ko mita diya (mita diya)
likhe jo khatt unko jalaa diya (ohh)
tum se milne ka na aasra

[outro: anaaz]
kyun andhera sa chha gaya? (chha gaya)
saare khwaabon ko mita diya
likhe jo khatt unko jalaa diya
tum se milne ka na aasra


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...