lirik lagu ammaz ali - aap (feat. nine9 beats)
mayassar ki qadar hi nai, lahaasil ko tarastay hum
jis dil men jagah na ho mumkin, wahan kyun bastey hum
aapke aane ki umeed nahi lapata hain
aap ko dhundhne nikle kho chuke hain rastey hum
apne meri muhabbat ko naya mor diya
mere kehne pe baalon ko khula chor diya
janay anjanay men kaafi kuch mene bol diya
per kyun is rishte ko adhoora krke tor diya
aaj bhi apki tasweer hai sambhali mene
konsi baat thi jo aapki na maani mene
aapki call ki wajah se jaaga kab se ke
aaj bhi ek aur raat kr di poori kaali mene
khoobsurat cheezen to khuda ki unginat
aapki aankhon ki to baat hi kuch aur hai
hangama barpa hochuka thori peene pe
dil men khamoshi, dil ke aas paas shor hai
aap jo mere likhe khat ke yun krke tukray
dil mera veeran ghar jab se aap dil se utray
nibhanay ke sab waaday krke mu′n pe aap jo mukrey
ye mere zakhmon ka na marham per ye kese chup reh
zamana aisa ke kamane se na fursat hai
chehre pe khushi lekin dil men ghum e furqat hai
ek zamanay men to aap se muhabbat thi
or ab zamana aisa ke muhabbat se bhi nafrat hai
toot na jayen sapnay, sapnon se main darta hoon
jo aksar sapnon men main aap ko hi dekhta hoon
bhari dunya men dil ko samjhane kahan jaoun
jhoote dilasay dekr isko behlane main kahan jaoun
where should i go?
where should i go?
yun to beshumar zahir hen wafaoun ki nishaniyan
nishaniyon se kaafi to niralay hain wo khat
ujalay ki kiya parwah mujhe aap to chaand hain
andhere men ujalay jese apke wo khat
apki yaad men nikalay the wo khat
sharab ke saharay phir jala diye wo khat
apke tohfe saare sonp diye darya ko
in lehron ke hawalay saare krdiye wo khat
mere marne pe to kaafi royenge
per mere marne pe kiya aap royengi?
main sukoon men ab neend poori kr na paoun
main sukoon men tab sounga jab aap soyengi
aapki yaaden sote sote kyun jagati hain
sharab ki wo bottlen ye zindagi sajati hain
kiya kahoon, main kiya sahoon, ab ghum to itne kaafi hain
aap hen to zindagi, aap jayen to ghum izaafi hain
ek mamooli se kaghaz ki manind tha ye mann mera
or ispe likh diya tha naam mene aap ka
ek sonay aangan si ye zindagi thi meri
jo ke bas chuki thi, bhar chuka tha pyaar usmen aap ka
aakhri mulaqaat krlete hen shayad
lekin hoske ke ek aur mulaqaat ki soorat nikle
nahi maloom tha ke jitne aap chehre se hain
dil se bhi utne ya usse zyada khubsurat niklen
mausamon ki tarhan aap badal chuke hen poore
aksar bheed men hoon rojata ye log mujhko ghooren
ab aap to ajayen intezar na mazeed
poora gaana likh chuka hoon aap sun lena bas please!
Lirik lagu lainnya:
- lirik lagu gökhan kırdar - sürünerek
- lirik lagu vilda boját - butchers knife
- lirik lagu vinyl - драже
- lirik lagu hadley fraser - look for the silver lining
- lirik lagu pro dillinger & snotty - texas tornado
- lirik lagu vircolac - tether and wane
- lirik lagu treintisiete - vite que no es lo mismo
- lirik lagu binkyz - vibe
- lirik lagu smokingskul - open shop wya
- lirik lagu r/green day cover project - letterbomb