lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu ammaz ali & mahad sheikh & nine9 beats - hijar

Loading...

intro: (mahad sheikh)

kesa ye ishq hai?
kesi hai zindagi
pukaaroon main tujhe
kiya tu hai sun rahi?

ab na main wo raha
jab se ho tum gayi
jo na ab tu mera
jaanan ye ghum sahi

verse 1: (ammaz ali)
humen shak ki deewar se wo juda kr chalay
tere sheher se jo chalay sar utha kr chalay
khud ka haal barbaad, sab ko dikha kr chalay
teri mehfilon se guzray ghum chupa kr chalay

hum to tujhe, teri nafrat, teri muhabbat sabhi ko
jese khuda samajh bethe, sar jhuka kr chalay
jab bhi chalay tera naam leke chalay
jese sehra hai khushk, aankhen sukha kr chalay

aesa ishq kiya, jisko mout bhi na mita paaye
aese khat likhe mene ke wo jala aaye
meri aankh men nami hai, kis baat ki kami hai
saara waqt kisi aur pe kyun luta aaye?
gulshan ke phool abhi khilne ko aaye
mujhse bichra mera yaar kabhi milne to aaye
shab na munasib shayad din men to aaye
bina soche tujhpe likhay lafz, dil men jo aaye

hum jaa rhe hen ab ye shab e ghum guzar ke
hum jaa rhe jana tere dil se ishq utaar ke
hum jaa rhe hen tujhse baazi ishq ki, jo haar ke
hum jaa rhe hen jana, na milenge us muqaam pe

hum jaate jaate keh gaye sada wo dil men rkhna tum
ab arhe hen murjhay huye phool bahar ke
hum jaa rhe hen jaane do ye behtar hi rahe lekin
hum jaa chuke hen phir bhi tum humen pukaarte

shab e tanhayi bhi to jaan leva hai
aksar ishq bhi insaan ki ye jaan leta hai
aaj doulat mera mazhab, ye insaan kehta hai
ek aam shaks ko zamana kyun ghulam kehta hai

rahen ishq men tabah, sahen ishq men saza
ishq mera marz, mujhe mile bas dawa
tu mere dard ki dawa per rahi dard ki tarhan
jo bhi the farz tu ne nibhaye na, qarz jo char’ha

pehle umer choti dava nahi piya krte the
ab waqt guzray, umer barhi to sharab pe ab lag paray hain
bekhabar nashe kren, kiya khaak bhi asar paray
hain bottlen jo beshumar, zehen ko kiya khabar paray
chorus: (mahad sheikh)

kesa ye ishq hai?
kesi hai zindagi
pukaaroon main tujhe
kiya tu hai sun rahi?

ab na main wo raha
jab se ho tum gayi
jo na ab tu mera
jaanan ye ghum sahi

verse 2: (ammaz ali)

jiski fikar dil men liye, usko fikar hi na rahay
mera uski zubaan pe kyun zikar hi na rahay
wo muhabbat aesi kr gaye jo ban chuki ek sabaq
tab se muhabbat krne ka mjh men jigar hi na rahay

jo tu hai badli, main bhi badla, dil se tu utar gaya
guftugu anjaan si jo din bhi ye guzar gaya
sheher e dil men ek shaks mera mar gaya
jo waqt na tha kar saka, wo waqt ab kyun kr gaya?

main muhabbat se lar gaya, jo muhabbat pe mar gaya
ab kabhi na ho ye aesi muhabbat main tha kr gaya
main dil se apne lar gaya, jo nasha sar pe char gaya
per apna banaya tha jo tu raaz mere parh gaya
behte ashkon ki zubaan nahi hoti
lafzon se muhabbat bhi bayaan nahi hoti
mere andar ka ye shaks soche gaane kyun main gaata
kehta gaanon se bhi zindagi bayaan nahi hoti

din nahi dhalta to phir shaam nahi hoti
paisa khuda nahi banta, chori aam nahi hoti
agr muhabbat hi mil jaye to qadar krna seekh
zindagi her kisi pe meherbaan nahi hoti

ab bikhre huye tukron ko sametne nikle
tum samnay se guzre mu’n pher ke nikle
uske likhe huye khat meri jaib se nikle
ab manzil ko rawana per hum dair se nikle

mera dil nahi naam tera lene ka
zikar khud chal para meri zubaan pe
judayi ka ye ilzaam khud apne sar leke
aa’eyne men dekhte hum khud ko hi daant’tay

outro: (mahad sheikh)

kesa ye ishq hai
kesi hai zindagi
pukaaroon main tujhe
kiya tu hai sun rahi?

ab na main wo raha
jab se ho tum gayi
jo na ab tu mera
jaanan ye ghum sahi

jaanan hum hain sahi
jaanan kiya tum sahi?


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...