lirik lagu aliyas akhoon - far away
[ verse 1: hanan ]
ab chali ae rooth k zindgi door to hatho mai dhul he rahi bas
mashoor halato se mile khalyo mai mile ab faasle nye ab
naam se kai log khaas bhi kai par arz ka arzi kaam se nhi ab saans bhi aag ye raat mai g~yi kab saaf mizaj aur sadgi sahi bas
na judwa ab milte junoon k,baithe muntazir ab milte saboot k
nazare tikake do pal k sukoon pe,kitne he khawabo ka hatho pe khon hai
ye kisse jo nikle kamoshi se ansu ae amad jo aati behoshi k
bateen na zada ye adat na todi ae,tute hum aise k kasar na chordi hai
galati lihaz aur lehje ki,galti jo waqt ki kadar na pehle thi
peeche wo sub ab badlni zindagi,bhagde ab aage to ego bhi faile gi
aise they pehle bhi,sehltе jo bhi ab beatin sab saaf to bn jate dhobi
lage ilzam hai pac si imagе par wada ke marne ke baad bhi kobe
andhera he saath raha aur hui na mujhse bhi khaas wafa
dhaag he mile gai naam pe kya hai raat ka taluq bhi chand se kya
mudne ka wapis hai zaabta kya ab hare to hoga is naam ka kya
fasana saz he mera ilaj ab hoga kya kabhi bhi saamna na
pehle se suni ye baaten jo karte kuch alag wo wapis nhi aate
baithe ab nazren tikake aur jhuti hai hasi ye chehre batatey
ab ginte na pairo ke chale bas mqsad e thehre ab mazil pe jakey
hum barso ke haare jo milte khuda se ab bhadte jab aage bas dikhte munfay..yaya
hota ilaj na dawa se adey to kaise zamana ye gawah hai
duniya he galat mizaj ki wajah hai,rkha sambhal k saath jo chala ae
chaha wo aaj tak haath na laga to kaise phir bne na jaam ki wajah tu
iss shaam se khafa kyu,raat k baad he baat ka maza kyu
[ verse 2: aliyas akhoon ]
ab chali hai rooth ke zindagi dhur toh haatho mai dhul he rahi bas
raha bezaar chorda jo maazi mai logo ke chehre dikhe hai das
bade jo faasle alag ye raaste karne hai khawab ab saare sach
milna toh chahte hai sab par rehta mai khud ek raaz sa bas
qafas ki raaton mai baitha woh shakq jis se darru mai khud
heavy anxiety panic attack mai g~yi hai zindagi rukk
zehan mai kashmakash si likhayi mai rehta mai dutth
reh g~ya dil ye akele jo ehd e wafa mai g~ya tha jhuk
(haaaan)
barish ki boondo ki tarah ab gire sihayi aur de ye gawahi
ke fasi hai zindagi wahi jahan se hue thi pheli tabahi
ruka na khuda be dene mai dard zara be na toote dil ki mili dawah be
rahu ab duniya se khafa hi, laddun mai khud se khudki ladai
(haan)
kehna hai lazmi
dil mai bani rahi hai sadgi
kehna toh chahti hai mujse woh aaj be
rehna woh chahti hai mere saath
par badla hai waqat aur badle halat be
pata tha pyaar phela hota hai aarzi
bacha lihaaz ni chordo ye khawab be
ab dena koi jawab ni baatien ye aarzi
(yaaaaa)
baitha jo mehfil mai nazarein jukha ke muntazir rahe uss khuda ke
roye ye dil faqat mai rahe hai aasu ab sabse chupa ke
dua pe bachi hai zindagi rakhe ab yehi maut se faasle
toot ke bane jo shayar dete gawahi hain saare he raaste
dekha jo falak ki taraf toh toote sitaare ab yehi bata rahe
kyu zindagi mai hue itne tamashe samne pdi hain ana ki laashe
tarashoun apne inn haathon ko soch ke badal dun inki lakeere
rahi umeed na zara bhi bahti na muje abh duyawi cheezain
Lirik lagu lainnya:
- lirik lagu jovani vazquez - lagartijo, iguana, lagarto
- lirik lagu ksuuvi - #madbudz!!
- lirik lagu ferdi tayfur - almanya treni
- lirik lagu laurie darmon - bah ouais je t'aime
- lirik lagu sophia makrich - tommy
- lirik lagu blue october - leave room for a miracle
- lirik lagu trouf - unplugged vibes #1
- lirik lagu tyroxeen - time runs
- lirik lagu 白鲨jaws (bai sha jaws) - 水霧 (vapor)
- lirik lagu elliatzo - zoomin