lirik lagu ali saffudin - nisar teri galiyon main
nisār maiñ tirī galiyoñ ke ai vatan ki jahāñ
chalī hai rasm ki koī na sar uthā ke chale
jo koī chāhne vaalā tavāf ko nikle
nazar churā ke chale j~sm o jaañ bachā ke chale
hai ahl~e~dil ke liye ab ye nazm~e~bast~o~kushād
ki sañg~o~ḳhisht muqayyad haiñ aur sag āzād
bahut hai zulm ke dast~e~bahāna~jū ke liye
jo chand ahl~e~junūñ tere nām~levā haiñ
bane haiñ ahl~e~havas mudda.ī bhī munsif bhī
kise vakīl kareñ kis se munsifī chāheñ
magar guzārne vāloñ ke din guzarte haiñ
tire firāq meñ yuuñ sub.h o shaam karte haiñ
bujhā jo rauzan~e~zindāñ to dil ye samjhā hai
ki terī maañg sitāroñ se bhar ga.ī hogī
chamak uthe haiñ salāsil to ham ne jaanā hai
ki ab sahar tire ruḳh par bikhar ga.ī hogī
ġharaz tasavvur~e~shām~o~sahar meñ jiite haiñ
giraft~e~sāya~e~dīvār~o~dar meñ jiite haiñ
yūñhī hamesha ulajhtī rahī hai zulm se ḳhalq
na un kī rasm na.ī hai na apnī riit na.ī
yūñhī hamesha khilā.e haiñ ham ne aag meñ phuul
na un kī haar na.ī hai na apnī jiit na.ī
isī sabab se falak kā gila nahīñ karte
tire firāq meñ ham dil burā nahīñ karte
gar aaj tujh se judā haiñ to kal baham hoñge
ye raat bhar kī judā.ī to koī baat nahīñ
gar aaj auj pe hai tāla~e~raqīb to kyā
ye chaar din kī ḳhudā.ī to koī baat nahīñ
jo tujh se ahd~e~vafā ustuvār rakhte haiñ
ilāj~e~gardish~e~lail~o~nahār rakhte haiñ
english translations
my salutations to thy sacred streets, o beloved nation!
where a custom ‘that none shall walk with his head held high’ has been invented
and if a devotee yearns to go on pilgrimage
then he must walk, with eyes lowered & body crouched in fear
the heart is in a tumultuous wrench at the sight
of stones and bricks locked away and mongrels breathing free
in this tyranny that has many an excuse to perpetuate itself
those crazy few that have nothing but thy name on their lips
facing those power crazed that both prosecute and judge, wonder
to whom does one turn for protection, from whom does one expect justice?
but those whose fate it is to live through these times
spend their days in thy mournful memories
when hope begins to faint, my heart has often conjured
your forehead sprinkled with stars
and when my chains have glittered
i have imagined that dawn must have burst upon thy face
thus one lives in the memories of thy dawns and dusks
imprisoned in the shadows of the high prison walls
thus always has the world grappled with tyranny
neither their rituals nor our rebellion is new
thus have we always grown flowers in fire
neither their defeat, nor our final victory, is new!
thus we do not blame the heavens
nor let bitterness seed in our hearts (in times of parting)
we are separated today, but one day shall be re~ united
this separation that will not last beyond tonight, bears lightly on us
today the power of our exalted rivals may touch the zenith
but these four days of omniscience (power) too shall pass
those that love thee keep, beside them
the cure of the pains of a million heart~ breaks
Lirik lagu lainnya:
- lirik lagu moonica mac - i ditt hjärta
- lirik lagu groovyroom - daylight
- lirik lagu murillo zyess - de praxe
- lirik lagu assia - je chante
- lirik lagu twist - distancing
- lirik lagu sean ryan fox - perfect crime
- lirik lagu mula - agua que quema
- lirik lagu banda de quebrada - bom motivo
- lirik lagu illeoo - μμμ νάνα (mmm nana)
- lirik lagu anika dąbrowska - nawet jeśli jutra nie ma