lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu albaari - kya hi jaaney aap

Loading...

(verse)

pyaar, mohabbat, wafa, ikhlaas
inn lafzon ka matlab kya hi janey aap
ba~kamaal hunar rakhta tha raazdaan ka dimaag
bin kuch karey jaan jaata tha mere dil ka har ek raaz
do harf mohabbat toh sikha di maine
na yaad kara paaya main usey wafa ka ek bhi alfaaz
khata uski na thi koi main hi laga baitha ussey ummedein hazaar
na jaan paya mein ke
ishq~e~haqiqi chhod ke bhala kon karey ishq~e~majazi pe aitbaar
khair yahi hai zamaane bhar ka haal
qareeb hoke palbhar mein, kaise ek shakhs chhod jaata hai nazdeekiyon pe sawaal
maujoodgi se jiski milta tha qalb ko aaraam
ho g~ya ab uss taskeen~e~dil ke ehsaas ka zawaal

(verse)

dekhte thay chashm~e~hairaan se kisi roz jisey
ab dua kartey hain ki woh shakhs kabhi nazron ke saamne na padey
taqtey hain raah manzar aur bhi
rehnuma ki yaadon se nikle toh phir kaheen jake safar aagey badhey
hotey khuda toh baat kuch aur hoti
ab insaanon se kya hi shikwey rakhey
zaaya ho jaatey aansu behte agar sirf tere liye
issliye nikaal laaye hum aur bhi ghum
jo kabhi dil ki gehraaiyon mein thay dabey padey

(outro)

fart~e~mohabbat ka yeh sila mila
chamak uthe mehr~o~maah
humein sirf andhera mila
arzoo na hai zyada ki
tumhara saath jitna mila batera mila
khwahish thi ki tum jaise mil jaye koi khwaabon ki bheed mein
magar shahr~e~tamanna mein tumhaare jaisa na koi dikha na dhoonde se mila


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...