lirik lagu albaari - khauf-e-qazaa
(verse)
ab kya bataoon main
kuch baatey baataayi nai jaati
bheed mein ghulkar bhi
yeh tanhaayi chupai nai jaati
kitne bhi badey rakhloon qadam apne
zindagi ki chaal se chaal milayi nai jaati
lamha~dar~lamha andhere se guzarti hai zindagi
toh khud ki parchai bhi saath kya hi nibhati
kafi mehnat lagti hai khushi dhhondne mein
aur afsurdagi ka kya hai
woh toh bin mashaqqat zindagi mein aa hi jaati
dekhli us chaand ki chaandni jee bhar ke maine khuda
ab iss sitaarey ko uska noor ata farma de
ghoom aaya woh ghamzada galiyan main
ab jahan ho bazm~e~tarab mujhe bhi usi taraf pohocha de
na bahey ek qatra bhi aansu ka
tu mujhe aisi koi raat dikha de
aur chupa de har zakhm mere dil ka
taki yeh duniya use dekh kar mera mazaak na uda de
iltiji meri bas itni ke, tamasha na banjaaye nagara bhar mein isliye
dil ke har dard ko dil hi dil mein daba de
(chorus)
khauf~e~qaza ne
cheen liya zindagi ka maza
sang~dil toh kafi mile
koi ahl~e~dil na mila
waqt ki dhoop se
nikhar g~yi saari duniya
main woh phool jo ab tak na khila
(verse)
ab kya bataoon main
kuch baatey baataayi nai jaati
pet bharne ke liye padti roti ki zarrorat
sirf daant chabaane se bhook mitayi nai jaati
kitna bhi bacha lo iss dil ke ghar ko ghumon ki baarishon se
kaheen na kaheen se seelan dil~o~deewar pr aa hi jaati
qaid panchi aadi apne pinjrey ka
khuley aasmaan se bhi ab nazrey milayi nai jaati
kya kholega woh pankh apne
jab yeh wehshi duniya udney pr bhi tohmatien lagati
tinka tinka jod ke banaya khwaabon ka aashiyana
ek hawa ke jhokey ne saari mehnat pr aag laga di
ae mere maalik kuch toh keh sabaa se
kyun yeh parwaaney udaane ke liye shamma bujhati
hai duniya ek ghazab jalva~gaah
kirdaar ki kami magar
tamasha har ek shakhs kar raha
kartab ajab hotey hain yahan
dekh ke unhe ek pal ko khuda bhi ho jata wahshat~zada
zarra zarra dil ka ghum se bhara
magar hasney ki aisi adakaari ke dekhne waale bhi reh jaate hairat~zada
ghum~zada raatein guzaari be~panah
bhool g~ya raahein manzil ki
magar na bhool saka saaqi kabhi maiqadey ka pata
haath utha liye dua~e~maghfirat ke liye
maut qareeb hai magar yeh banda fanaa hone se darta hai zara
(chorus)
khauf~e~qaza ne
cheen liya zindagi ka maza
sang~dil toh kafi mile
koi ahl~e~dil na mila
waqt ki dhoop se
nikhar g~yi saari duniya
main woh phool jo ab tak na khila
Lirik lagu lainnya:
- lirik lagu seekie - overthinking
- lirik lagu bryza - polskie reggae
- lirik lagu master dy - mayhem in the vortex
- lirik lagu blackswan - c'est jamais vue
- lirik lagu mala (254) - after dark
- lirik lagu orrionn - must see god
- lirik lagu the troops of doom - the grotesque
- lirik lagu yemi alade - bop
- lirik lagu xavanium - d!e young
- lirik lagu soft - lanmou o piyaj