lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu albaari - humein tanhaai bula rahi hai

Loading...

(intro)

ae khushiyon raasta chhodo
humein tanhai.. bula rahi hai (×2)

(verse)

ab kya bataoon main
kuch baatey baataayi nai jaati
bheed mein ghulkar bhi
yeh tanhaayi chupai nai jaati
kitne bhi badey rakhloon qadam apne
zindagi ki chaal se chaal milayi nai jaati
lamha~dar~lamha andhere se guzarti hai zindagi
toh khud ki parchai bhi saath kya hi nibhati
kafi mehnat lagti hai khushi dhhondne mein
aur afsurdagi ka kya hai
woh toh bin mashaqqat zindagi mein aa hi jaati

dekhli us chaand ki chaandni jee bhar ke maine khuda
ab iss sitaarey ko uska noor ata farma de
ghoom aaya woh ghamzada galiyan main
ab jahan ho bazm~e~tarab mujhe bhi usi taraf pohocha de
na bahey ek qatra bhi aansu ka
tu mujhe aisi koi raat dikha de
aur chupa de har zakhm mere dil ka
taki yeh duniya use dekh kar mera mazaak na uda de

(verse)

ab kya bataoon main
kuch baatey baataayi nai jaati
pet bharne ke liye padti roti ki zarrorat
sirf daant chabaane sе bhook mitayi nai jaati
kitna bhi bacha lo iss dil ke ghar ko ghumon ki baarishon se
kaheen na kaheen se seelan dil~o~deewar pr aa hi jaati
qaid panchi aadi apnе pinjrey ka
khuley aasmaan se bhi ab nazrey milayi nai jaati
kya kholega woh pankh apne
jab yeh wehshi duniya udney pr bhi tohmatien lagati
tinka tinka jod ke banaya khwaabon ka aashiyana
ek hawa ke jhokey ne saari mehnat pr aag laga di
ae mere maalik kuch toh keh sabaa se
kyun yeh parwaaney udaane ke liye shamma bujhati

hai duniya ek ghazab jalva~gaah
kirdaar ki kami magar
tamasha har ek shakhs kar raha
kartab ajab hotey hain yahan
dekh ke unhe ek pal ko khuda bhi ho jata wahshat~zada
zarra zarra dil ka ghum se bhara
magar hasney ki aisi adakaari ke dekhne waale bhi reh jaate hain hairat~zada


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...