lirik lagu ahsan - mushaira
[intro: jaun elia]
aaj mein bada hassas hun
chunke mera khayal yeh hai
ke yeh mera aakhri mushaira hai
uske baad mera khel khatam hone wala hai
[verse]
mushaira laga hai khilafat~e~rind ka
aqeedat main bethe hain nafs aur aqeeda
mohalle ki masjid may horahi azaan
woh kanche bhi kehte the mujhko nailaami se dar thoda
kam~zarf, maazi kahani se bahir nikal
lage kaafir se ghar, the woh khali magar
mujhe kaamil se lage yeh baaghi se ghar
thode ghaazi hain mard
idhar mashal hai aurat aur qalam ghulami se darta nahi
mera khauf ki basti se panga tha pehle
ab khauf se bolo “kyun deta tu phanda nahi?”
galay may danda, ab qalam pe weham
mein thoda sa pehle sе patla aur
thoda sa pehle se cash ka aadi
in naso’n main ghaas aur khoon may paani
hawalе nahi dhoonde yahan se kisike
muqaddar ki khirkiyan todi nahi mein ne
jou dete awaazain the arsh batake
woh khuda ki qasam se suni nahi mein ne
zaahir bhi hua mein
saaron ki aankhon pe bandhi thi patti zamanay ki
duniya farebi may palti hai
marham lagane ko maangta dil sukoon
ki talab se janam yeh khatam
ab qabar pe phool aur qalam pe marham
yeh safar taweel nahi hota yun khatam
par duniya ka mela ye chaar he qadam pe khatam
par khuda bhi deta hai mohlat insaan ko
thoda jazbaat se kaam le aaj tu
thode khilaaf shikaar ke aarzu meri
ke jaan bhi jaye par giray naa izzat ki topi
woh dere yeh goli pe molly ki line’ain
jou kheenchi tou lagta
sirhane may sar rakh ke tere sath
betha yeh j~sm se j~sm bhi juday
par aankhon se aankhein milati nahi tum
mein qaasid hun, nayib gharane ka sur
mein mandir ki murti aur masjid ki saf
mein girjay may eesa ke haathon ka raqs
mein jhoomun iss masti ke alam may
sadkon pe kaali gadi
meri khwabon ke daldal may phansi hai
hansi hai chehre pe, maathe pe shikan
ab betha mushaire may, rind hun mein fil~waqt
apne aap ko rakha mayaan may
laga ke “khudi” hai “mein”
meri soch pe aqal ke dairay nahi bante
yeh ishq ki sarhad haqeeqat pe mabni
iss ghazal ko naam do nazam ka
zakhmon pe namak ka zehar bhi chirak do
thoda sa kafan ke kapray pe pewand lagake
aakhon se haqeeqat ko pher do
apne jazbaat pe hota nahi qaabu
aap meri kotahi ko kar dein muaaf
mein rindon ki mehfil main betha mushaira lagake
aap rakhein naa mujh se koi aas
[outro: jaun elia]
ab faqat aadaton ki warzish hai
rooh shaamil hai shikayat may
(waah! waah! kya kehne?)
ab faqat aadaton ki warzish hai
(waah! waah! waah!)
Lirik lagu lainnya:
- lirik lagu frijo - fumando
- lirik lagu vitória freitas - testei positivo
- lirik lagu 888 balarke - yaoi
- lirik lagu gxblin - derin*
- lirik lagu being dead - godzilla rises
- lirik lagu lxngvx - bruxo fantasma 2 (super slowed)
- lirik lagu triniti - deep
- lirik lagu ocean of illusions - arboreal hatred
- lirik lagu mansfarroll - lalita
- lirik lagu naoeofer - impossible