lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu ahsan - falsafi

Loading...

[intro]
shuru kariye yaar
shuru kariye baawa ji
aajao

[verse 1]
awazari mere sarr pe sawaar
meri umar baayis saal par safaid hore baal
ghar walay dene lag~y taane, bante nahi ab gaane
lekin phir bhi sambhala mein ne lafzon ka hathiyar
yeh sawaal mujhe khaaye roz, [?] mera
aaj kal roz sunra hai boht, kon saga mera?
mere kaan sunein high boht, kehte mujhe behra
ik awaaz aayi ander se, bright future mera
mein kon hun? mujhe samajh naa aaye
jou bolna chahun woh bola naa jaaye
mein ander se jaise aaj marr he g~ya
yeh matti ka putla kya subko samjhaye?
mujhе khauf khudse aaye
dil jaise pathar, koi aansu naa aayе
aaj mushkil padi tou koi kaam naa aaye
mein sach bhi bolun, sub samajhte liar
mein nahi hun high, mein nasha nahi karta
mein inki iss vibe may raha nahi karta
bhai, pyaar may jhoot aur dagha nahi chalta
koi ek naam lo jou qabar tak chalta
kon hustle nahi karta?
hustle ke bina bhai ghar nahi chalta
famous hone se bhai pait nahi bharta
nashe karne se koi seth nahi banta
mukhatib aaj apne zameer se
mein paida hua gar ameer se
meri hustle angaaro ko pees de
mein bana malang umar bees se
aisi feel de, aqal ko meri jou cheer de
mere pairo ke neeche jou keel the
unhe phool banaunga mein pees ke
[chorus]
mere khoon may shaamil sarrkashi hai (sarrkashi hai, sarrkashi hai)
mere ander bhi tou anaa chhupi hai (oye chal oye parran ho! chal!)
mere ander basta falsafi hai (yes, yes, bilkul, i am good)
mere ander bhi tou maykashi hai (haye oye!)
mere khoon may shaamil sarrkashi hai (sarrkashi hai oye!)
mere ander bhi tou anaa chhupi hai (acha par—, parran ho)
mere ander basta falsafi hai (yes, bilkul, bilkul, yes)
mere ander bhi tou maykashi hai (leyao bhai ik hor bottle)

[verse 2]
khayalon may apne mein gum hun
lekin nazar aaun jaise shum hun
mujhe pyaar nahi hota ab kisi se
mere ander bhi mein nahi, tum hun
meri soch sitaaro se upar (badi utte hai baawe)
lekin rabb nazar naa aaye (nai aareya)
mera khauf khayalon se upar (aye hoye)
mujhe jab nazar woh aaye
mujhe kab nazar woh aaye? (aaye)
meri soch ke jhoote saaye (saaye)
mein ne hosh se joote khaaye (khaaye!)
inke badan se khushbu aaye (aye hoye)
aur muu se badbu aaye
mujhe zaahir aur baatin ka faraq (faraq)
jani ab samajh hai aaye
jani ab samajh hai aaye
[bridge]
aaye, aaye, aaye (aaye)
aaye, aaye, aaye (aaye, aaye)
aaye, aaye, aaye (aaye, aaye)
aaye, aaye, aaye (aaye)

[verse 3]
jou bola woh tou baatein nahi hain bolte sub
mere ander ka insaan jaaga khauf aur darr se
uth g~ya mein tou neend se, mauqe sub
mein ne chhode jou the milay mujhe besabab
nahi beqadar, phirru darbadar
sukoon ki talaash may mein kam aqal
duniya ki nazar may yeh pheeke phal
mere hissay may aaye saare theek hain bus
ahsan baal katwa le (chal ayy!)
apna style tou change kar (o pehn yawwa!)
phatti pant utaar de (nahi jani, jou marzi kar)
zara dhyaan se dekh kar (acha ji)
mein jaisa bhi hun mujhe naaz hai khudpe (yes, yes)
pehle din se pata tha kuch khaas hai mujhme
lekin logon ko nahi aati hain baatein raas
mera kya kasoor? karun khudse baat
meri yeh auqaat, mein tou hun fanaa
mujhe le doobi meri yeh anaa
[chorus]
mere khoon may shaamil sarrkashi hai (sarrkashi hai baawe)
mere ander bhi tou anaa chhupi hai (o pehn—, parran ho!)
mere ander basta falsafi hai (beshak)
mere ander bhi tou maykashi hai (ley aao baawa ji ik hor bottle)
mere khoon may shaamil sarrkashi hai (sarrkashi hai! sarrkashi hai!)
mere ander bhi tou anaa chhupi hai (o pehn—, parran ho!)
mere ander basta falsafi hai (yes, yes, bilkul)
mere ander bhi tou maykashi hai (haaye oye)

[verse 4]
mennu chayide ne note (chayide ne note!)
mennu chayida ay clout (clout!)
(chayida ay clout!)
mennu chayidi ay fame (fame!)
mennu chayida ay crowd (crowd!)
mein vi chauna mere vi million de vich hon views
mein vi chauna mere vi pichhe hoye janta pagal (o pagal he oye!)
mein vi chauna mere kol loug lehn autograph (aao yaar)
mein vi chauna mera vi billboard te aawe naa (o aag~ye baawa ji)
mein chauna sub kuch, lekin ki ay meri marzi? (kuch nai jaanda)
mein apni auqaat he naa jaanan (kuch nai si jaanda mein baawe)

[outro]
bus karo yaar, bus karo
lala ji, bus karo yaar, bus hog~yi hai (shani bhai band karo)
bus kar deyo yaar, bus
hun (shani bhai) band karo ennu, band karo
band karo
(shani bhai bus karo yar, band kar deyo)


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...