lirik.web.id
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

lirik lagu 100 rbh - ladki ya galti

Loading...

[verse 1]
sab mein pehle toh shukriya mujhe ye zindagi
dene ke liye kam se kam mujhe mili toh sahi
kyun ki dekha maine bhi jinhe hoti ladki
maari jaati pett mein ya bahar kahin na kahin
par main nasib wali manu khudko haan khari
khudko dekha hai zinda abhi tak paida hote na mari
paida hote se meri uthai zimmedari
karke phir se shukriya deri tumhari ye pari
par papa mummy tum dono kyun hone lage change
bachpan mein jaise rakhte thae abhi kyun nahi same
na ja sakun bahar jab ki jaate meri friends
meri bhi iccha hoti par main kar leti hoon sehan kyun
college tuition se na main ho sakti hoon late
bhaiya kitna bhi padh sakta par mujhe limited kyun
darinde ye samaaj ka tum lete stress
inki gandi soch mutabik mujhe pehan na padta dress

[chorus]
main bojh banke roz palti hoon
kaafi icchae dilo mein rakh ke chalti hoon
meri zindagi ho ke zinda hoon lage kaafi kyun
main ladki hoon ya phir galti hoon haan
main bojh banke roz palti hoon
kaafi icchae dilo mein rakh ke chalti hoon
meri zindagi ho ke zinda hoon lage kaafi kyun
main ladki hoon ya phir galti hoon
[verse 2]
tum chhone na de te kisi baat ko ghinona lage woh phase
achhoot sa hota feel jab mujh ko aate periods papa
tumhare ghar mein daadi akeli stree thi maatr
kya unke haath ka khaa ke tum hote thae apavitra
vichitra soch bhugtun roz main kitne height pe
kabhi ghar ke bahar jau toh ladke chhede hum ko pride se
agar main ye boli tumko ghar mein kar loge band
jab ki main chahati hoon tum haq se ladho mere side se
khair nahi lagta mujh ko kharab
tum kara do meri shaadi jab ki padhna mera khwaab
ladke wale anpadh bujurg puchhe mujh ko sawaal
main janti tak nahi usse judda do mera bhaag
woh mard banke ghar mein pee ke aayenga sharaab
maarega kutte jaisa zindagi kare kharab meri
tumhari soch se main layak bali ke
aise apradhi logon ko tum kehlate pati dev chhee

[chorus]
main bojh banke roz palti hoon
kaafi icchae dilo mein rakh ke chalti hoon
meri zindagi ho ke zinda hoon lage kaafi kyun
main ladki hoon ya phir galti hoon haan
main bojh banke roz palti hoon
kaafi icchae dilo mein rakh ke chalti hoon
meri zindagi ho ke zinda hoon lage kaafi kyun
main ladki hoon ya phir galti hoon
[outro]
dekhi itihaas nariya bhi thi nidar
mujh mein bhi hai woh savitribai phule wala jigar
arre hum ko todna bhi aata prathao ki ye jakad
uska naam khaali phoolan devi tha par kardi ussni katal


Lirik lagu lainnya:

LIRIK YANG LAGI HITS MINGGU INI

Loading...